Wednesday, October 9, 2013

Abhi kuch hone ko hai..

Gazal


Aainaa hairaan hai aur asmaa rone ko hai
Is tamash-gaah mei ab aur kya hone ko hai

Kashtagan-e-dard ko jaan ki aman kaise mile
Zindagii ki har dua apana asar khone ko hai

Neend ke maare kisii sapne ki Khwaish kya kare
Har ghadi mehsoos hota hai sahar hone ko hai

Kis ke naqsh-e-paa ko samajhe apni manzil ka nishan
Jhaag udati mauj aakar har nishan dhone ko hai

Kash ye koi sitara ya koi jugnu kahe
har andhera kah raha hai roshani hone ko hai

Aye hawa-be-yaqini gul na kar ghar ke charag
Chand lamhe thahar ja kuch na kuch hone ko hai...........

Bedard Zamana

Bedard zamana hai, koi to dawa dijiye,
Rona hame aata hai, hanse ki saza dijiye.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, October 26, 2010

Abhi kuch hone ko hai..

Gazal


Aainaa hairaan hai aur asmaa rone ko hai
Is tamash-gaah mei ab aur kya hone ko hai

Kashtagan-e-dard ko jaan ki aman kaise mile
Zindagii ki har dua apana asar khone ko hai

Neend ke maare kisii sapne ki Khwaish kya kare
Har ghadi mehsoos hota hai sahar hone ko hai

Kis ke naqsh-e-paa ko samajhe apni manzil ka nishan
Jhaag udati mauj aakar har nishan dhone ko hai

Kash ye koi sitara ya koi jugnu kahe
har andhera kah raha hai roshani hone ko hai

Aye hawa-be-yaqini gul na kar ghar ke charag
Chand lamhe thahar ja kuch na kuch hone ko hai...........

Monday, July 19, 2010

Dosti Kya Hai

Kya Khabar Tum Ko Dosti Kya Hai
Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai

Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
Bahut Anmol ek Heera Bhi Hai

Dosti ek Haseen Khwab Bhi Hai
Pass Se Dekho To Sharab Bhi Hai

Dukh Milne Pe Ye Azaab Bhi Hai
Aur Ye Piyar Ka Jawaab Bhi Hai

Dosti Yoon To Maaya Jaal Bhi Hai
Ek Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai

Kabhi Furqat Kabhi Visaal Bhi Hai
Kabhi Zameen Kabhi Falak Bhi Hai

Dosti Jhoot Bhi Hai Such Bhi Hai
Dil Mei Reh Jaye To Kasak Bhi Hai

Kabhi Ye Haar Kabhi Jeet Bhi Hai
Dosti Saaz Bhi Sangeet Bhi Hai

Shaer Bhi Nazam Bhi Geet Bhi Hai
Wafa Mei Gaaya Hua Sangeet Bhi Hai

Dil Se Nikli Hui Ek Dua Bhi Hai
Kitna Samjhoge Kya Kya Bhi Hai
Bus Itna Samajh Lo Tum Akhir Mei
Pyar Ki Shruaat Aur Inteha Bhi Hai.


Mahtab Alam (Mushk)

Kabhi jo hum nahi hon ge

Kabhi jo hum nahi hon ge
kaho kis ko batao ge
wo apni uljhanain saari
wo bechaini mei doobe pal
wo ankhon mei chupe ansoo
kise phir tum dikhao ge
kabhi jo hum nahi hon ge

Mahtab Alam (Mushk)

Mana leti hai

Dosti main dooriyan to aati rehti hain
Phir bhi dosti dilon ko mila deti hai
Wo dost hi kiya jo naaraz na ho kabhi
Par sachchi dosti doston ko mana leti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Mana leti hai

Dosti main dooriyan to aati rehti hain
Phir bhi dosti dilon ko mila deti hai
Wo dost hi kiya jo naaraz na ho kabhi
Par sachchi dosti doston ko mana leti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

zindagi hai mukhtasar

wabasta teri hayat se sabhi silsile hain magar
meri zindagi hai mukhtasar teri dosti ke liye


Mahtab Alam (Mushk)

Sunday, June 20, 2010

Tujh se kahein

dukh fasaana nahi ke tujh se kahein
dil bhi maana nahi ke tujh se kahein ,
aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jana nahi ke tujh se kahein,
ek tu harf_aashna tha magar
ab zamana nahi ke tujh se kahein ,
be-tarah dil hai aur tujh se
dostana nahi ke tujh se kahein ,
ai Khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-dana nahi ke tujh se kahein

Akhtar...

Thursday, June 3, 2010

Na Kar Saka

Ankhon Se Log Pi Gaye Mere Dil Ka Raaz
Afsos Tere Gam Ki Hifaazat Na Kar Saka

Ik Khowab Us Ke Samne Dum Tor Ta Raha
Afsos Mera Maseha Koi Karamat Na Kar Saka

Us Ne Na Mujh Ko Visaal Ki Naemat Adaa Ki
Be Sood Main Bhi Us Ki Ibadat Na Kar Saka

Pakka Ghara Tha Pass Magar Phir Bhi Woh Udaas
Na Jane Kyun Darya Ko Par Karne Ki Himmat Na Kar Saka.

Mahtab Alam (Mushk)

Raam Kahani

Izhar-e-Mohabbat Mei Ek Umar Lagata Hai
Jo Shaksh In Aankho Se Kuch Lutf Uthata Hai

Kal Chand Ko Dekha Jab To Yeh Jan Liya Hum Ne
Yeh Husn Bhi Tere Hi Chehre Se Churata Hai

Dil Khol Kar Dekho To Yeh Husn Ki Zanjere
Jin Se Tu Mujhe Qaidi Umron Ka Banata Hai

Main Bhool To Jayon Par Ai Jaan Tujhe Kaise
Hai Koi Jo Khudh Apni Hasti Ko Mitata Hai

Dedar Ki Khatir Kyun Tu Kohe Tur Par Jata Hai
Woh Pyar Pe Aaye To Khudh hi Paas Bulata Hai

Zamana Hai ab Sirf mahtab Computer Ka
Yeh Raam Kahani To Kis Dil Ko Sunata Hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Na The Aise

Hum Log Na The Aise
Hein Jaise Nazar Aate
Ai Waqt Gawaahi De
Hum Log Na The Aise

Yeh Sheher Na Tha Aisa
Yeh Rog Na The Aise
Deewar Na The Rishte
Ai Waqt Gawaahi De
Hum Log Na The Aise

Zandaan Na Thi Basti
Khaljaan Na Thi Hasti
Yoon Mout Na Thi Sasti
Ai Waqt Gawaahi De
Hum Log Na The Aise

Yeh Aaj Jo Soorat He
Halaat Na The Aise
Tafreeq Na Thi Aisi
Sanjog Na The Aise
Ai Waqt Gawaahi De
Hum Log Na The Aise

Mahtab Alam (Mushk)

Bachpan Ka Zamana

Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Khushiyon Ka Khazana Hota Tha

Chahat Chaand Ko Paane Ki
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha

Rone Ki Wajah Na Hoti Thi
Hasne Ka Bahana Hota Tha

Khabar Na Thi Kuch Subohon Ki
Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha

Daadi Ki Kahani Hoti Thi
Pariyon Ka Fasana Hota Tha

Ghum Ki Zubaan Na Hoti Thi
Na Zakhmon Ka Paimana Hota Tha

Baarish Mei Kagaz Ki Kashti
Har Mausam Suhana Hota Tha

Woh Khel Woh Saathi Hote The
Har Rishta Nibhaana Hota Tha

Bachpan Ka Zamana Hota tha
Kiya Khoob Zamana Hota Tha.

Mahtab Alam (Mushk)

Shayari

Shayari har shayar ke dil ki zuban hoti hai
Izhar nahi par izhar ki ek adaa hoti hai.

Chhoo lete hain dil ke taron ko chupke se
Phir se zindagi ki koi nayi ebtaida hoti hai.

Kah dete hain har baat apne shair ke misre se
Raaze dil janne ki bhi raazdaan hoti hai.

Chhupi hai har lafz mei is ki ek nayi kahani
Pyar karne walon ki bhi dastaan hoti hai.

Kar deti hai ek madhur kaifiyat taari sab par
Hosh gawaane ki gumnaam dawaa hoti hai.

Dhoondh leti hai har woh raah jis par use chalna hai
Dil ki manzil tak pahoonchane ki paiyedaan hoti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, May 27, 2010

Khaak Ho Jayenge

Aap Ko Chahiye Ek Umar, Asar Hone Tak
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak.
Hum Ne Maana Ke Tum Tagaafil Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak.

Mahtab Alam (Mushk)

Baat Nahi Karte

Ye Na Sochna Ghaafil Ho Gaya Teri Yaad Se Mahtab
Tumhari Khushi Samaj Kar Tum Se Baat Nahi Karte.

Mahtab Alam (Mushk)

Dua Maangi Hai

Tu hi mil jaaye mujhe ye hi kaafi hai
Meri har saans ne ye hi dua maangi hai
Jaane kyun dil khincha jata hai teri taraf
Kya tune bhi mujhe pane ki dua maangi hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Gum Na Ho

Tumhari zindagi me koi gum na ho,
Tumhari aankhen kabhi num na ho.
Tumhe mile zindagi ki har khushi,
Bhale chaahe usme hum na ho.

Mahtab Alam (Mushk)

Mera Muqaddar Hota

Woh mera sab kuch hai lekin mera muqaddar nahi hai
Kash wo mera kuch bhi na hota bas mera muqaddar hota.

Mahtab Alam (Mushk)

Nahi jaati

kuch sitaron ki chamak nahi jaati
kuch yaadon ki khanak nahi jaati
kuch logon se hota hai aisa rishta
ke door reh kar bhi unki mehak nahi jaati.

Mahtab Alam (Mushk)

Taqdeer Se Chup Kar

Mujhe Maloom Hai Mera Mukaddar tum Nahi Lekin
Meri Taqdeer Se Chhup Kar Meri Ek Baar Ho Jao.

Mahtab Alam (Mushk)

Kitne Majboor Ho

Kitne majboor ho taqdeer ke haathon Mushk
Na use pane ka zarf hai na use khone ka Hosla.

Mahtab Alam (Mushk)

Bewafa nahi lagte

Na janay kiya hai us ki udaas ankhon mei Mahtab
Woh nazar chura ke bhi guzre to bewafa nahi lagte.

Mahtab Alam (Mushk)

Talash Kar

Rehne De Aasman..
Zamin Ki Talash Kar,
Sab Kuch Yahin Milega..
Na Kahin Aur Talash kar,
Har Arzoo Agar Ho Puri..
To Phir Jine Ka Kya Maza,
Jine Ke liye To bas Tu Ek
Kisi Wajah Ki Talash Kar..

Mahtab Alam (Mushk)

Sunday, May 9, 2010

Kya Hai Maa

Jab Kabhi Zindagi Udaas Lage
Jab Kahin Bhi Sukoon Na Pao Tum

Koi Pursan-E-Haal Na Poochhe
Sari Duniya Se Haar Jao Tum

Tab Mere Dost Sirf ek Hasti
Tum Pe Nazren Karam Ki Dale Gi

Tum Se Saari Udasiyan Le Kar
Rahat-E-Qalb Tum Ko Bakhshe Gi

Jo Kahin Se Bhi Na Muyassar Ho
Woh Sukoon Maa Ke Paas Hai Humdum

Dekh Kar Dard Apne Bacchon Ka
Aankh Ho jati Hai Jis Ki Purnam

Dost Tujh Se Kahun Main, Kya Hai Maa
Muhabbaton Ka ek Jahan Hai Maa

Teri Duniya Main Gar Andhera Ho
Roshni Dene Ko phir Shama Hai Maa

Qadam Ke Neeche Hai Jannat Us Ke
Yaani Jannat Ka Aasman Hai Maa

Mashwara Mera Hai Tujhe Humdum
Todna Tu Na Kabhi, Maa Ka Bharam

Bande Woh Hi Kamal Rakhte Hain
Jo Apni Maa Ka Khayal Rakhte Hain

Ke Hadis Main Yeh Qalaam Hota Hai
Beta Maa Ka Ghulaam Hota Hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Tum Se Hai

Ye Kamiyabian Izzat Ye Naam Tum Se Hai
Khuda Ne Jo Bhi Dia Hai Maqaam Tum Se Hai.

Tumhare Dam Se Hain Mere Lahoo Mei Khilte Gulab
Mere Wajood Ka Saara Nizaam Tum Se Hai.

Kahan Bisat-E-Jahan Aur Main Kam Sin-O- Nadan
Ye Meri Jeet Ka Sab Ehtemaam Tum Se Hai.

Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Main Hoon
Jahan Jahan Hai Mera Ehteraam Tum Se Hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, May 6, 2010

EK KHUWAAB

Raat phir khuwaab main aa kar mujhse
Meri ammi ne kuch sawaal kiye
Usse pahley mujhey duaa yeh di
Khuda karey ke tu sau saal jiye
Unki aankhon mein mohobbat bhi thi
Aur chhupa afsos bhi tha
 
Ek aanso bhi tha un aankhon main
Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha
Mujhse poochcha ke bete kaisey ho
Koi diqqat to nahin hai tumko
 
Phir kaha!!!!
Tumko maloom hai kya
Main bari takleef main hoon
Jab se laiti hoon so nahin payee
Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee
Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain
Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain
 
Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
Merey samjhaney main kami thi kya
Ya meri tarbiyat adhoori thi
Kyon burey kaam roz kartey ho
Kyon nahin us khuda se dartey ho
Jisney tumko ye jaan bakshi hai
Jisney tumko amaan bakshi hai
Laut kar jiske paas jaana hai
 
Kya usey munh nahin dikhana hai
Kya tumhein is liye padaya tha
Kya tumhein yehi sab sikhaya tha
Ki apney ilm par Guroor karo
 
Apney nafs ko masroor karo
Jab bhi bolo to bas galat bolo
Zulm dekho to lab nahi kholo
Chorkar deen bhool kar mazhab
Apni auqaat note main taulo
Sach batao ki kya ye qissa hai
Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
Mujhko afsos nahin ke tu mujhey bhool gaya
Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya
Main to Jee key bhi roz marti hoon
Main tujhey roz yaad karti hoon
Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney
Uskey anjaam se main darti hoon
 
Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye
Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka


Mahtab Alam (Mushk)

Saturday, April 17, 2010

Hangama-e-Gam se tang aakar izhaar-e-musarrat kar baithe
mashhoor thi apni zindaadili, daanistaa sharaarat kar baithe

koshish to bahot ki hamane magar, paayaa na Gam-e-hasti ka mafar
viraani-e-dil jab had se badhii, ghabaraa ke mohabbat kar baithe


nazaro se na karate pursish-e-Gam, Khaamosh hi rahna behtar tha
diwaano ko tumane chhed diyaa wallaah qayaamat kar baithe


har cheez nahi ek markaz par, ek roz idhar ik roz udhar
nafrat se na dekho dushman ko, shayad ye mohabbat kar baithe


Akhtar

Wednesday, April 7, 2010

Talaash kar

Meri taqdeer say pooch meri kismat ka faisla
Meri muskurahat pe na ja mera dard talaash kar
Ankhon say pooch mere intezaar ki had
Itminan pe na ja mere sabr ko talaash kar
Mere doston say pooch meri dosti ka alam
Surat pe na ja meri seerat talaash kar.

Mahtab Alam (Mushk)

Wafaa Nahi Hoti

Dost To Bahut Hain Magar Wafaa Nahi Hoti
Har Gire Hue Ghoonghat Mei Hayaa Nahi Hoti.

Apni Ana Ko Har Cheez Pe Qurban Kar Dete Hain
Magar Dosti Se Piyari koi Anaa Nahi Hoti.

Us Ke Har Sitam Ko Hans Ke Seh Lete Hain
Jo Dost Sitam De Woh Sazaa Nahi Hoti.

Har Dard Ka Elaaj Maujud Hai Is Duniya Mei
Lekin Jo Dost Zakhm De Uski Dawaa Nahi Hoti.

Dil Aur Aayene Mei Faraq Sirf Itna Sa Hai
Jab Dil Toot ta hai To Us Ki Sadaa Nahi Hoti.

Mahtab Bure Se Bhi Bad Tar Hai Wo Insaan
Jis Mei Apne Doston Ke Liye Wafaa Nahi Hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

Misaal Kar Daala

Mohabbaton Ne Kaisa Kamaal Kar Daala
Humain To Udasiyon Ki Misaal Kar Daala.

Kabhi Milein To Poochhein Ge Ek Dooje Se
Ke Kis Ko Kis Ke Gam Ne Nidhaal Kar Daala.

Tu Bata Us Se Kiya Kahoon Ga Main
Meri Udasi Pe Jo Kisi Ne Sawaal Kar Daala.

Suna Tha Zindagi Ka Safar Mushkil Hai
Humne Karke Mohabbat Aur Bhi Mahaal Kar Daala.

Kuchh To Hum Bhi Moam Ke The Aur Kuch
Tumne Bhi Zindagi Ko Shoulon Ki Shaal Kar Daala.

Mahtab Alam (Mushk)

Raha Hai Koi

Bahut Qareeb Aa Kar Door Ja Raha Hai Koi
Dosti Ka Haath Mila Kar Door Ja Rha Hai Koi.

Char Din Ki Zindagi Hai Phir Wapas Jana Hai
Phir Kyun Mujh Ko Behad Sata Raha Hai Koi

Mere Hisse Ki Zindagi Bhi Us Ke Naam Kar De
Baargah-E-Elahi Mei Haath Utha Raha Hai Koi.

Zindagi Bhar Kabi Bhi Hum Judaa Na Hon Ge
Wo Waade,Wo Qasmein Bhula Raha Hai Koi.

Wo Haath Jin Se Hameesha Duaein Mangein Thein
Aaj Unhein Haathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, April 1, 2010

wo bhi nahi main bhi nahi

Larzishon ko manta wo bhi nahi main bhi nahi
Dono insan hain khuda wo bhi nahi main bhi nahi.
Wo mujhe aur main use ilzaam deta hoon
Khud apne andar jhankta wo bhi nahi main bhi nahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Mujhe Bas Itna Samjhao

kabhi Tum Laut Ke Aao Mujhe Bas Itna Samjhao
Kahan Se Seekh Li Tum Ne Ada Mujh Ko Bhulane Ki
Tumhe Mujh Se Shikwa Tha Ya Koi Bhi Shikayat Thi
Zehmat To Zara Si Thi Na Ki Koshish Bataane Ki
Bhala Yun Chhor Ke Apna Koi Apnon Ko Jaata Hai
Musalsal Dukh Ki Barish Mei Jeewan Bhar Rulata Hai
Abhi To Rait Geeli Hai Abhi Sab Naqsh Baqi Hain
Gaye Qadmon Pe Laut Aao Mujhe Bus Itna Samjhao.

Mahtab Alam (Mushk)

Jiya Karta Hai

Ye Na Socho Ke Faqat Naam Liya Karta Hai
Aik Deewana Teri Aahat Mei Jiya Karta Hai.

Wo Janta Hai Ke Tu Us Ke Muqaddar Mei Nahi
Phir Bhi Har Roz Tujhe Yaad Kiya Karta Hai.

Kuch Nahi Mangta Rab Se Kabhi Apne Liye
Teri Khushiyon Ki Dua Mang Liya Karta Hai.

Raat Ko Yaad Mei Teri Jo Tarapta Hai Dil
Chand Se Ja Ke Teri Baat Kiya Karta Hai.

Kuch Nahi Chahta Tum Se Apni Chahat Ka Sila
Ye Deewana To Faqat Pyar Kiya Karta Hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, March 5, 2010

Woh Basa Nahi

Gam-E-Zindagi Teri Raah Mei
Shab-E-Arzoo Teri Chaah Mei.

Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahi
Jo Bichhar Gaya Woh Mila Nahi.

Woh Jo Dil-O-Nazar Ka Saroor Tha
Mere Paas Reh Kar Bhi Door Tha.

Woh Hi Ek Gulaab Ummeed Ka
Mere Shakh-E-Jaan Pe Khila Nahi.

Mujhe Manzilon Ki Khabar Nahi
Use Raaston Ka Pataa Nahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Kabhi Main Yaad Aaon To

Kabhi Main Yaad Aaon To.......
Mujhe Bas Itna Kehna Hai, Kabhi Main Yaad Aaon To
Kabhi Tanhayi Ki Raaten Tumhen Zyada Satayen To
Kabhi Titli Na Bole To, Aur Jugnoo Laut Jayen To
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye, Koi Jab Sun Na Paye To
Kabhi Jab Dost Saathi Bhi Jo Tum Se Rooth Jayen To
Kabhi Jab Khud Se Larkar, Thakan Se Choor Ho Jao To
Kabhi Chahte Houe Bhi Khud Akele Ro Na Pao To
Apni Aankhon Ko Band Karna, Mujhe Awaaz De Dena
Phir Mere Tasawwur Se Jo Chahe Baaten Keh Dena
Mere Kandhe Pe Sir Rakh Kar Tum Jitna Chahe Ro Lena
Khushi Ya Dukh Mei Jab Bhi Tum Kabhi Dilse Pukaaro Ge
Hamain Tum Paas Pao Ge, Hamain Tum Saath Pao Ge.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, March 4, 2010

Muntazir

Jisne andaaz dia mujhe muskuraane ka,
use hi shauk hai ab mujhe faqat rulaane ka.
Jo lahron se cheerkar mujhe laaya tha kinare,
wohi muntazir hai ab mere doob jaane ka.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, March 2, 2010

Mehsher

Bara maza ho jo mehsher mei hum karen shikwa
Woh minnaton sey kahen chup raho Khuda key liye.

Mahtab Alam (Mushk)

Sham ke Baad

Ankh ban jati hai sawan ki ghata sham ke baad,
Laut jata hai agar koi khafaa sham ke baad.
Maar deta hai ujar jaane ka woh dohra ehsaas,
Kaash ho koi na juda kisi se kabhi sham ke baad.

Mahtab Alam (Mushk)

Bhula dete hain

Mujh mei kya hai jo mujhe yaad krega koi,
Achhe achhon ko yahan log bhula dete hain.

Mahtab Alam (Mushk)

Qaatil

Sab ke honton pe tabassum tha mere qatl ke baad,
Jaane kya sonch ke rota raha mera Qaatil tanhaa.

Mahtab Alam (Mushk)

Talabgaar

Dil tujhe rooh se paane ka talabgaar hai warna,
Log milte hain tere saath ke har raahon mein.

Mahtab Alam (Mushk)

Ab Bhi Waisi Hai

Mere jazbon ki sachchayi ab bhi waisi hai,
Us ke bin meri tanhaayi ab bhi waisi hai.
Ab kya ahsaas dilana usko apne dard ka,
Us ki jo thi laaparwaahi, ab bhi waisi hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, February 22, 2010

Yaad bhi rakha

Ehsaas tera hum ne tere baad bhi rakha,
Bhoole bhi tujhe aur tujhe yaad bhi rakha.
Ojhal bhi kiye rakha tujhe aankhon se apni
Khawabo ki tarah aankho mei aabad bhi rakha.

Mahtab Alam (Mushk)

kuchh bhi nahi

Jiss ko chaha wohi kehta hai wafa kuchh bhi nahi
Aisa lagta hai mere pass raha kuchh bhi nahi.
Yoon bhi uss ne mujhe faraamosh kiya
Sun ke har baat meri jaise suna kuchh bhi nahi.
Bahut veeraan si ho gayi hai zindagi meri
Woh jab se chorr gaya, mere pass raha kuchh bhi nahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Gubbaron

Ab mujhe wafa sikhane lage, who badtameez log,
Dil tod diya karte the, jo aadatan ghari ghari.
Kya kamzarf ho gaye hain, zamane ke shaks-o-aam,
Gubbaron ki tarah fool jaate hain, jo thodi hawa mili.
Yaadon mei jiski basaa karte the, usko hi bhula diya,
who jaata raha door aur tumne ek awaaz tak na di.

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, February 15, 2010

Rona aya

najane kyun toot ke apni babasi par rona aya
dusron ko nahin main ne apnon ko hi aazmaaya.
hum doston ki tanhayi ko door karte chale lekin
par khud ko kyun har mor par tanha paya.

Mahtab Alam (Mushk)

ke bas

Aisa toota hai tamannaon ka pandaar ke bas
Dil ne jhelen hain mohabbat main wo aazaar ke bas
Ek jhamake main zamane mere hathoon se gaye
Yun munh pher ke badli, waqt ki raftaar ke bas
Tu kabhi rakh ke hame dekh to bazaar ke beech
Is tarah toot ke aayenge kharidaar ke bas.

Mahtab Alam (Mushk)

Badal gayi

Suraj dhala tu saaye ki surat badal gayi
waqt para tu gehri rafaaqat badal gayi.
main ik umar tak uski zaroorat bana raha
phir yoon hua ki uski zaroorat badal gayi.

Mahtab Alam (Mushk)

Pehle si

chand to nikla tha magar raat na thi pehle si
yeh mulaqaat, mulaqaat na thi pehle si
ranj kuch kum to huwa tere milne se aaj
yeh baat alag hai ke, baat na thi pehle si.

Mahtab Alam (Mushk)

Yaad rakhta hoon

Mein logon se mulaqaton ke lamhe yaad rakhta hoon
Mein baatain bhol bhi jaoon to lahje yaad rakhta hoon
Sar e mehfil nigahain mujh pe jin logon ki parti hain
Nigahaun ke hawale se woh chehre yaad rakhta hoon.

Mahtab Alam (Mushk)

Nikaaley jaate

khud-ba-khud chor gaye hain to chalo acha hua
Itney ehbaab kahan ham se sambhaley jaate.
Hum bhi Ghalib ki tarah koocha-e-Jana se Mushk
Na yuhin khud nikalte to kisi roz Nikaaley jaate.

Mahtab Alam (Mushk)

Yaqeen

mujhe apne kirdaar pe itna to yaqeen hai mahtab
koi mujhe chhor to sakta hai magar bhula nahi sakta.

Mahtab Alam (Mushk)

Mosafir

har ek paon mujhe rondta hoa guzra
najane konsi manzil ki mosafir hun main.

Mahtab Alam (Mushk)

Saturday, February 13, 2010

hawaa... jab... tez chalti hai...to....patte.... toot jaate hain;
museebat.... ke dinon mein ...achchhe achchhe ...toot jaate hain.

bahut ...majboor hain hum .....jhooth.. to ....bolaa nahin jaataa;
agar...... sach... bolte hain hum ...to....rishte ...toot jaate hain.

bahut mushkil sahi...fir bhi....mizaaj ....apnaa badal lo tum ;
lachak ....jin mein nahin hoti ...taneY ...wo toot jaate hain.

bhale hi...der se aaye....magar...wo ...waqt aataa hai;
haqeeqat .....khul hi jaati hai....mukhote... toot jaate hain.

abhi.... duniyaa nahin dekhi ....tabhi ..wo....poochhte hain ..ye;
kisi kaa... dil...kisi ke.... khwaab ...kaise....toot jaate hain.

itnaa hi ....kyaa kam hai....tumhe.. wo ....dekhte to hain;
agar... kuchh raushni ho... to.... andhere toot jaate hain..........



Akhtar Alam

Nahi hoti hai

kaise keh doon ki mulaaqaat nahi hoti hai,

roz milte hai magar baat nahi hoti hai

aap lillaah na dekhaa karein aainaa kabhi
dil kaa aa jaanaa badi baat nahi hoti hai

chhup ke rotaa hoon teri yaad me duniya bhar se
kab meri aankh se barsaat nahi hoti hai

haal-e-dil puchne waale teri duniyaa me kabhi
din to hota hai magar raat nahi hoti hai

jab bhii milte hain to kahate hain kaise ho "Akhtar"

is se aage to koi baat nahi hoti hai

Magar Waada Nahin Karta

Tumhein Main Bhool Jaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Humeisha Muskuraoon Ga, Magar Waada Nahin Karta

Tumhari Har Nishaani Ko Main Dariya Burd Kar Doon Ga
Tumharey Khat Jala Doon Ga, Magar Waada Nahin Karta

Tumhara Zikar Mehfil Mein Huwa To, Khamosh Rehna Hai
Main Khud Ko Aazmaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta

Tujhey Waapis Bulaana Hai, Na Deni Hai Sadaa Koyi
Main Yoon Dil Ko Manaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta

Chalo Ye Teh Huwa Humdum, Hijr Ke Geet Koyi Bhi
Kabhi Na Gungunaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta

Chalo Tum Say Ye Waada Hai, Ke Dil Mein Dard Hain Jitney
Kisi Ko Na Sunaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta

Sitaaro Neend Ke Maaro, Chalo Khuwabon Ki Duniya Mein
Main Bhi So Hi Jaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta

Chalo Ye Tum Say Waada Hai, Koyi Bhi Qeemti Moti
Na Aankhon Say Giraoon Ga, Magar Waada Nahin Karta.

Mahtab Alam (Mushk)

Wafaa

Mujh se meri wafa ka fasaana to sun liya,
itna bhi na kaha ke zamaana kharaab tha.

Mahtab Alam (Mushk)

Wednesday, December 30, 2009

Zamana hi nahi

Dil se utar jaaye to tarq dun sab, sirf zamana hi nahi,
lagta hai tum ne abhi tak, mahtab ko pehchaana hi nahi.
Khud se zyada tujhe chaaha tha, yahi khata thi apni,
par Qadr mere jazbaaton ki, tum ne to jaana hi nahi.
Jab se chhora hai tujhe, chhor di hai sab ummeedein,
ab itne dil lagaane ke Qaabil, bacha zamana hi nahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, December 29, 2009

Rahne Do

Ye khamushi bhi hamari ana ka parda hai,
Sawaal Karte raho, jawaab rahne do.

Safar ka saath hai ye manzilon ka saath nahi,
Guzar hi jaenge ye lamhen, hisaab rahne do.

Mahtab Alam (Mushk)

Jo Tum

Jo tum hume chaahoge ek zara,
to hum tumhe chaahenge be-inteha.
Jo tum hume bhulaoge zara sa,
to hum tumhe bhul jayenge puri tarah.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, December 25, 2009

Hai to hai

Akhtar:

Vo Nahi Mera Magar Us Se Mohabat Hai To Hai,

Yeh Agar Rasmo Rivazo Se Bagawat Hai To Hai

Sach Ko Maine Sach Kaha Jab Keh Diya To Keh Diya,
Ab Zamaneki Nazar Mein Ye Himaakat Hai To Hai

Dost Ban Kar Dushmano As Vo Satata Hai Mujhe,
"Fir Bhi Us Pathar Dil Pe Marna Apni Fitrat Hai To Hai"


Kab Kaha Mainey Ki Vo Mil Jaye Mujhko,
Uski Bahon Mein Dum Nikle Itni Hastrat Hai To Hai

Jal Gaya Parvana To Usme Shama Ki Kya Khata,
Yun Raat Bhar Jalna-Jalaana Uski Kismat Hai To Hai

Vo Sath Hai To Zinda Hu,
Meri Saanso Ko Uski Zaroorat Hai To Hai.....

Dur They,Dur Renhenge Har Dum Ye Zamein Asmaan,
Duriyon Ke Baad Bhi Dil Mein Kurbat Hai To Hai

Mainey Kab Kaha Tu Mil Hi Jae Mujhe,
Par Gair Na Ho Jaye Itni Is Hasrat Hai To Hai.

Saturday, December 19, 2009

Main Wohi Hoon

Main wohi hoon jise tum dost kaha karte the
Din mei sau baar mera naam liya karte the.

Aaj kya baat hai kyun mujh se khafa baithe ho
meri sab achhayion ko ikdam bhula baithe ho.

Faasle itne to kabhi pahle na hua karte the
Main wohi hoon jise tum dost kaha karte the.

Mahtab Alam (Mushk)

Chalay

Har cheez tumhaari lauta di
Hum Lekar nahi kuch saath chalay.

Phir dosh na dena ai jag waalon
Hum dekho khaali haath chalay

Yeh raah akelay sabko kaatni hai
Yahan Saath na koi yaar chalay.

Us paar na jaane kya paayoon
Is paar to sab kuch haar chalay.

Mahtab Alam (Mushk)

Torna Toote Hue Dil Ka

Torna toote hue dil ka bura hota hai
Jis ka koi nahi us ka to Khuda hota hai.

Mang kar khushi loon kisi se mujhe manzoor nahi
Are kis ka maangi hui daulat se bhala hota hai.

Log naahak kisi majboor ko kahte hain bura
Aadmi achhe hain par waqt bura hota hai.

Kyon Mahtab apni tabahi ka ye kaisa shikwa
Jaisa taqdeer mein likha hai ataa hota hai.

Mahtab Alam (Mushk)

To Baat Thi

Zakhmon ko soz-e-dil se jo bharta to baat thi
Tu dard ban kar dil mein utarta to baat thi.

Mere kisi bhi dukh ka rishta na tha magar
Har dukh teri ataa se nikharta to baat thi.

Dil torna to kaam hai tera, is mein kamal kya
Tu bach ke is sitam se guzarta to baat thi.

Patthar ke ho rahe the jahan mein tamaam log
Wahan zindagi ki tarah tu thaharta to baat thi.

Phir dekh lete hum bhi jahan ki jurratein
Ruswayion se jo tu na darta to baat thi.

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, November 30, 2009

Mulaqatain

Mulaqatain roz hon to dilchaspi nahi rahti
Ye be-tarteeb yaran-E-haseen maloom hote hain.

Mahtab Alam (Mushk)

Dosti Se Doston

Kuch Na Mila Doston Ki Dosti Se Doston
Jo Mila Paish Aaya Berukhi Se Doston

Shahar Se Door Kahin Tanhayi Me Le Jao Mujhe
Bhar Gayaa Hai ji Mera Ab Dosti Se Doston

Mahtab Alam (Mushk)

Pahle

Soch Samajh Lena Qadam Uthane Se Pahle
Kahin Kho Na Jao Manzil Aane Se Pahle

Mukhlis Dost Se Mehroom Ho Na Jao Kahin
Yeh Soch Lena Use Aazmaane Se Pahle

Apne Daman Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhna
Phool Sare Chun Lena Khiza Aane Se Pahle

Tumhare Seene Mein Bhi Dharakta Hai ek Dil
Yeh Soch Lena Kisi Ka Dil Dukhaane Se Pahle

Umar Bhar Kaun Kisi Ke Liye Rota Hai Ai Dost
Log Sirf Aanso Bahate Hain Dafnaane Se Pahle.

Mahtab Alam (Mushk)

Pahle

Soch Samajh Lena Qadam Uthane Se Pahle
Kahin Kho Na Jao Manzil Aane Se Pahle

Mukhlis Dost Se Mehroom Ho Na Jao Kahin
Yeh Soch Lena Use Aazmaane Se Pahle

Apne Daman Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhna
Phool Sare Chun Lena Khiza Aane Se Pahle

Tumhare Seene Mein Bhi Dharakta Hai ek Dil
Yeh Soch Lena Kisi Ka Dil Dukhaane Se Pahle

Umar Bhar Kaun Kisi Ke Liye Rota Hai Ai Dost
Log Sirf Aanso Bahate Hain Dafnaane Se Pahle.

Mahtab Alam (Mushk)

Apni Apni Baari

Yahan Apni Apni Baari Par
Sab Hanste Hain Sub Rote Hain
Kuch Ashk Dilon Par Girte Hain
Kuch Mitti Mai Mil Jaate Hain
Kuch Lafz Ada Ho Jaate Hain
Kuch Hoton Mai Sil Jaate Hain
Mana Ke Adhoore Hote Hain
Par Khwab To Sab Ke Hote Hain
Kuch Paa Kar Bhi Kho Dete Hain
Kuch Kho Kar Bhi Paa Lete Hain.

Mahtab Alam (Mushk)

Sunday, November 29, 2009

Bewafa Hai....

GAZAL:


Har kisi ko milta hai tera ehshaas
Fir kyo khafa rahta hai ye khalq tumse
Jane kya hai teri is anjuman mei
Jisne tujhko apnaya wo bewafa hai

Nahi hota aasan rahe mohabbat
Jane kyo chalte hai insan is par
Jo de kabhi koi tera wasta
Fir kyo kaha usko bewafa hai

Tera nahi koi wajud is jahan mei
Kyo har jagah tera dar ruswai hai
Shikwo se tarruf hota hai tera
Tere har anjaam ka naam bewafa hai

Tod kar khamosh khushi dil ki
Karti hai roshan gum ke chirago ko
Bewaqt deti hai dastaq zindagi mei
Ha usi sitam ka naam bewafa..

Tuesday, November 24, 2009

Chaha Tha.....

GAZAL:

Waqt ki shak se ek lamha churana chaha tha
Sikander ki tarah kismat azmana chaha tha
Na maloom tha mukadar ki maar kya hoti hai
apne daman mei thodi khusiya bharna chaha tha

Gum-e-zindagi ke sitam hote hai aise bhi
Kabhi apno ki ruswai na chaha tha
Aa Jayega mera safar iss mod par
Gumrahi ka aisa rahe gujar na chaha tha

Hasne lage ye zamana meri bebasi par
Apni quwato ka aisa mujahira na chaha tha
Ek adna ins ke jaise ek arzoo thi meri
Ki rehaan ki bulandiyo ko chuna na chaha tha

Kyo galib ho gaya hum par tera ye sitam
Humne to Dua mei kisi ka bura na cahaha tha
Kyo mahroom ho gayi Gazal chand khusiyo se
Ki Iltaza mei hume to teri jannat na chaha tha.

Friday, November 20, 2009

Mushkil Hai

Mohabbat ka irada ab badal jana bhi mushkil Hai
Tumhe khona bhi mushkil Hai tumhe pana bhi mushkil Hai.

Udaasi tere chehre ki gawara bhi nahi lekin
Tere khatir sitare tor kar lana bhi mushkil Hai.

Zara zara si baat par ankhain badal lete ho aksar
Tumhe to apne dil ka haal sunana bhi mushkil Hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Iss Eid

Shikwa Humein Manzoor Nahi
Na Aaj Koi Bahaana Ho Ga.

Aap Ko Hamari Khushiyon Ki Qasam
Iss Eid Pe Aap Ko Nahaana Ho Ga.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, October 29, 2009

Tere Bagair

Meri bhi aankhon mei nami hai, tere bagair
Ab kahaan fizaa shabnami hai, tere bagair.
Waqt ki raftaar badalti rahti hai, badal jaoge
Hum bhi jeena seekh hi lenge, ab tere bagair.

Hum to hawa the khirki, kyun kholte rahe tumne
Gharse nikala, lekin sanson se ab laroge, mere bagair.
Meri bisaat tum ne, samajh kar bhi mita daali
Shikwa! kahan hai koi samajh paya mujhe, mere bagair.

Mahtab Alam (Mushk)

Wednesday, October 21, 2009

Na Dena

Dosti gunaah hai to hone na dena
Dosti Khuda hai to khone na dena.

Karte ho tum agar kisi se sachi dosti
To kabhi us dost ko tum rone na dena.

Mahtab Alam (Mushk)

Har Koi

Har koi honton pe muskaan lana nahi janta
Har koi is dil ko churaana nahi janta.

Tum hi ho jo hum se jeet gaye warna
Har koi is dil ko haraana nahi janta.

Mahtab Alam (Mushk)

Nahin Hoti

Dosti se Qeemti koi jaagir nahin hoti
Dosti se khubsurat koi tasvir nahi hoti.

Dosti yun to ek kacha dhaaga hai faqat
Magar is se mazboot koi zanjeer nahi hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

Koi Dost

Koi dost aisa banaya jaye
Jis ke aansuon ko palko me chhupaya jaye.

Rahe uska mera rishta kuchch aisa
Agar wo rahe udas to hum se bhi na muskuraya jaye.

Mahtab Alam (Mushk)

Saturday, October 17, 2009

Khuda

Gazal:

Kabhi Maa mei nazar aate ho
Kabhi walid mei nazar aate ho
Kya tera jalwa hai
jidhar dekhu udhar tum hi nazar aate ho

Kabhi yusuf ke husn mei nazar aate ho
kabhi Meera ki diwangi mei nazar aate ho
Lag jaye jisko teri lagan
Uske liye apni Bahist bhi bicha dete ho

Banake humko apna deewana
Duniya ki nazar mei pagal bana dete ho
Kabhi aate ho Nooh banke to kabhi Musa banke
Fir Mohammad ko hamara rahnuma bana jate ho

Hote ho har jagah aur kahi bhi nahi
Nigaho par aisi pardagi kyo kar jate ho
Dete ho Aqql hume raee ki
Fir pahado sa sawal kar jate ho

Kabhi toor ki roshani mei nazar aate ho
To kabhi gum ki tariqio mei nazar aate ho
kabhi machli ke pet se nikal late ho
To kabhi sahil par hi duba dete ho

Ek darakht se dekar fal
Fir biz wahi daal jate ho
Teri rahmato ka koi parwan nahi
Dekar gunaho ki aqql fir afsos-e-hunar bhi de jate ho.

Ye meri bebasi hai ya teri misal-e-ulfat
ki har gunah ke baad bhi aata kar dete ho
Zarra-zarra hairan hai teri azmato se
Ye khuda kya kabhi tum khud mei bhi nazar aate ho

Gila

Bas ek zara khyaal uski dosti ka tha
warna bahut gila uski berukhi ka tha.
Mujhko laga ke main bhi uski zindagi me hoon,
par yeh to alag hi dokha meri saadgi ka tha.

Mahtab Alam (Mushk)

Nahi Aata

Na jaane kyun hame aansu bahana nahi aata
ke haale dil bhi jubaan pe laana nahi aata.
Kyun dost aksar bichhar jaate hai mujhse
shayad hame hi saath nibhaana nahi aata.

Mahtab Alam (Mushk)

Aadat hai hame

Ek alag hi pehchaan banane ki aadat hai hame,
zakhm ho jitna gahra utna muskuraane ki aadat hai hame.
Sab kuchh loota dete hain dosti me hum to,
is tarah hi dosti nibhaane ki aadat hai hame.

Mahtab Alam (Mushk)

wajah

Qudrat ke karishmon me agar raat na hoti,
to khwabon me bhi unse mulaqaat na hoti.
Yeh dil hi to zamaane me har gam ki wajah hai,
jo dil hi agar na hota to koi baat na hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

warna

Teri aarzoo me humne baharon ko hai dekha,
tere khayalon me humne sitaaron ko hai dekha.
Hame to pasand tha bas aap ka hi saath,
warna in aankhon ne to hazaaron ko hai dekha.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, October 16, 2009

Talabgaar

Dekh kitna chaaha hai tujhe kabhi gaur to kar,
ke itne to kabhi hum apne bhi talabgaar na the.

Mahtab Alam (Mushk)

Chaunk gayaa

Hansi ko apni sun ke ek baar main bhi chaunk gayaa,
ke mujhme dard chhupaane ka hunar yeh kaise aayaa.

Mahtab Alam (Mushk)

Dar Lagta Hai

Ab to aadat ho gayi hai gam sahne ki mahtab,
dar lagta hai ke kahin phir khushi na aajaye.

Mahtab Alam (Mushk)

Berukhi

Tod kar dil woh mera kahte hain kuchh awaaz hui,
berukhi apni saanson mei hai qismat yun naaraaz hui.

Mahtab Alam (Mushk)

Sahilo par

Gazal:


Jane kya kah diye marne walo ne lehro se
Ab talaq sar patakti hai sahilo par

Thursday, October 15, 2009

Gazal:


Hum zindagi se wafa karke paresha hai
Zindagi humse daga kar ke paresha hai
Na mere sabr ki imtiha hai
na uske aazmaisho ki had hai

Wednesday, October 14, 2009

Tuesday, October 13, 2009

Kaash

Woh roz dekhte hain doobte hue suraj ko mahtab,
kaash hum bhi kisi shaam ka manzar hote.

Mahtab Alam (Mushk)

Koi Kaash

Koi kaash khushiyon ki dukaan hoti,
aur hamen bhi uski pehchaan hoti.
Bhar dete khushiyon se aap ke ghar ko,
qeemat chaahe uski meri jaan hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

Yeh Aanchal

Yeh aanchal chaand sitaaron se bhar jaata hai,
ek khushi par teri koi mar bhi jaata hai.
Teri chaahat ka maqaam auron se kuchh zyada hai,
ke husn tera wafa se aur bhi nikhar jaata hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Pahunch

Shayar ki pahunch bahut door talak hoti hai,
ek taraf zameen to dooji taraf falak hoti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, October 9, 2009

Koi Khas Nahi

Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Tum Keh Dena Koi Khas Nahi

Ik Dost Hai Kacha Paka Sa
Ik Jhoot Hai Aada Sacha Sa

Jazbat Ko Dhanpay Ik Parda Sa
Bus Ik Bahana Acha Sa

Jeewan Ka Aisa Saathi Hai
Jo Door Na Ho Kar Pass Nahi

Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Bus Keh Dena Koi Khas Nahi

Mahtab Alam (Mushk)

Kuch Nahin Milta

Kissi Ki Ankh Se Sapnay Chura Ker Kuch Nahin Milta
Mandiron Se Charaghoon Ko Bujha Ker Kuch Nahin Milta

Koi Ik Adh Sapna Ho To Phir Acha Bi Lughta Hai
Hazaroon Khawab Ankhoon Main Saja Ker Kuch Nahin Milta

Bazahir Tum Se Hi Kerta Hun Main Saari Raz Ki Batain
Her Ik Ko Dastan E Dil Suna Ker Kuch Nahin Milta

Mujhay Akser Sitaroon Se Yahi Awaz Aati Hai
Kisi Ki Yaad Main Neendain Ghunwa Ker Kuch Nahin Milta

Jigher Ho Jayay Gha Chalni Yeh Ankhain Khoon Royain Ghi
Wafaa Befaiz Logoon Se Nibha Ker Kuch Nahin Milta

Mahtab Alam (Mushk)

Bahey Jaatey Hain

Dukh Apna Kisi Pay Hum Kholtey Nahin
Chup Hi Rehtey Hain Aksar Boltey Nahin
Mohabbat Khush Gumman Hi Sahi
Hum To Sarshaar Thay
Kisi Ki Mohabbat Ke Talabgaar Thay
Par Jaaney Kya Huwa
Iss Khush Gumani Ko Bhi Kisi Ki Nazar Lag Gayi
Hum Haar Gaye
Khud Pay Bharosa Kis Qadar Tha
Par Shayad
Naar-E-Ishq Mein Jalna Hi Muqadar Tha
Kon Humein Samjha Hai Kon Samjhey Ga
Hum Nahin Jaantey
Chup Hi Rehtey Hain Boltey Nahin
Dard Apna Kisi Pay Hum Kholtey Nahin
Par Jaaney Kyun
Zabt Ki Saari Hadein Torr Ke
Qatra Qatra Humarey Aansoo
Bahey Jaatey Hain
Bahey Jaatey Hain

Mahtab Alam (Mushk)

Nahin Karna

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir usey Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Ghari Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho uss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum Issey Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-Panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna

Mahtab Alam (Mushk)

Na Ki Jiye

Yun Dosti Ke Naam Ko Rusvaa Na Ki Jiye
Tark-E-Taalluqaat Ka Charcha Na Ki Jiye

Jurm-O-Sitam Ke Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Ki Jiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-E-Fardaa Na Ki Jiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Ki Jiye

Mahtab Alam (Mushk)

Kyun Hoti Hai

Zindagi aisi bewafaa kyun hoti hai,
wafa karne ki bhala sazaa kyun hoti hai.
Chhoti si baat pe bhi baha dete hain khoon,
kya pata logon me aisi anaa kyun hoti hai.
Karta hoon mai jis se baar baar tauba,
ya ilaahi mujhse wohi khata kyun hoti hai.
Banaate to hain hum apne haathon se masjid,
namaaz phir apni hi qazaa kyun hoti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Had Nahi

Meri gaflaton ki bhi had nahi,
teri rahmaton ki bhi had nahi.
Na meri khata ka shumaar hai,
na teri ataa ka shumaar hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, October 6, 2009

Dil ki Bisaat

Dil ki bisaat kya thi nigaahe jamaal me,
ek aaena tha toot gayaa dekh bhaal me.
Sabr aa hi jaayega basar ho ek haal me,
imkaan ek aur zulm hai qaide-muhaal me.
Aazurda hoon is qadar saraabe khyaal se,
ji chahta hai tum bhi na aao khyaal me.
Duniya hai khwab haasile duniya khyaal hai,
insaan khwaab dekh rahaa hai khyaal me .
Umr-e-do rozaa waaqaii khwab-o-khyaal thi,
kuchh khwaab me guzar gayi kuchh khyaal me.

Mahtab Alam (Mushk)

IshQ-e-Mushk

Tu is tarah se meri zindagi mei shaamil hai,
jahan bhi jaata hoon lagta hai teri mahfil hai.
Yeh kaisa ishq hai kaisi teri talab hai mujhe,
ke dil mera bhi ab apne khuda se gaafil hai.
Na koi raah na raah-e-nishaan dikhe hai mujhe,
tu thahar jaaye jahaan wohi meri manzil hai.
Bikhar to sakta tha main chhoti chhoti lahron mei,
mere hadon ko samete tu mera saahil hai.
Uski dilkash nazar pe na koi ilzaam rakho,
main qatl ho bhi gaya na koi mera qaatil hai.
Na husn-e-yaar ki mahtab ab badayi kar,
hairan to yun hun ke uska khuda bhi kaaeil hai.
Tere siwa na kisi aur ki talab mujhko,
tere wajood se mera jahan kaamil hai.
Woh ek dua hai tu jo har dilon me basti hai,
har ek shai me tere rahmat khuda ki naazil hai.
Jahaan ki naematen mujhko na ab lubhati hai,
ke teri wafa tera nazre karam to haasil hai.
Sabaq yeh deta hoon apne desh ke bimaaron ko,
main jubaan-e-hindi hoon, mahboob mera taamil hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Wednesday, September 9, 2009

Wafa Ki Shart

Yeh wafa ki shart bhi kya khoob usne jaan li,
rooth jaane ke liye woh, hum manaane ke liye.
Zindagi lekar hamen kis mor par ab aa gayi,
jaagte hum raat bhar unko bhulaane ke liye.
Phir uthi kaali ghataayen phir woh chamki bijliyaan,
phir se humne khair maangi, aashiyaane ke liye.

Mahtab Alam (Mushk)

Anaa

Kabhi mausamon se dara nahi,
kabhi aadhiyon se bujha nahi.
Yeh chiraag anaa ka chiraag hai,
yeh teri wafa ka diya nahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Chhor Diya Hai

Khoon humne kiya apni tamannaon ka lekin,
haathon mei teri range heena chhor diya hai.
Ab jaaye kahan kaise ude dil ka parinda,
par kaat ke kahte hain, jaa chhor diya hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Bhool Jaa

Bhool jaane ki usko qasam khaale tu,
woh ek bewafa thi wahi rah gayi.
Jaate jaate magar usne kiya kar diya,
dil ke zakhmon mei phir taazgi rah gayi.
Meri qismat ka likha to dekho hasan,
qatl karke mujhe woh hasti rah gayi.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, September 4, 2009

Mere khuda

Mere khuda tu meri iltija to sun
dilse nikal rahi yeh meri dua to sun.
dena mujhe mohabbat apni aur mohammad ki
duniya ki chahaton me ab milta nahi sukun

Mahtab Alam (Mushk)

Cellworks

Aao doston is shama mei, sun len kuchh gaur se,
yeh hamari aur tumhari, apne Cellworks ki baat hai.
        Main ise ek company, hargiz tasauwar karta nahin,
        yaqeen maano isme chhupi, ek family ki jazbaat hai.
Sub'h ke shabnami bundon, ki tarah hum chand hain,
par kisi ko bhi bhigone, ki hamaari auqaat hai.
        Koi dilli koi kerela aur koi mumbai ki bolta hai,
        baithe ho agar saath hum to, ek jubaan eksi hi baat hai.
Kaun kehta hai hamaara mustaqbil achcha nahin,
is recession ke samay bhi, changi hamaari halaat hai.
        Preshaniyan hoti hain pal ki, aana jaana kaam iska,
        hum agar himmat rakhen to, Cellworks hamare saath hai.
Naam lekar apne khuda ka, mahtab hausle se kaam le,
waqt ke har imtihaan ko, phir hamaari maat hai.
        DRD, iCPHYS, aur Model development bhi kuchh aisa kiya,
        Science ki duniya ko yeh sab, cellworks ki saugaat hai.
MS/MTB ki to waqayi, har taraf hi dhoom hai,
must hai member sabhi, team lead ki anokhi baat hai.
        Computational ki utility, mehnat kam karwaati hai,
        model development mei bhai, inka bahut haath hai.
Neuro ki numerology bilkul nahi jach paa rahi,
badi mushkil se purushottam mila, woh bhi kahan ab saath hai.
        Inflammation ki taraqqi bari tezi mei dikhti hai,
        cellworks family ka yeh, akela aadha part hai.
Skin to hai chhota par gun badaa rakhta hai,
cellworks ke har function mei inki mushguliat hai.
        Oncology ka to loha sab ne hi maana hai,
        drug study, integration pe inki hi bisaat hai.
Biosignoff aur cardio ka bhi, yogdaan kuchh kam nahin,
har developer ki to inse, hoti baar baar mulaqaat hai.
        Timing ki wajah se, suraj hai hum se naraaz sa,
        aate jaate dono hi pal mei, milti to hamen raat hai.
Top lead aur management ka mai shukr adaa karta hoon,
40 hazaar crore tak yuhin badhte rahen, yeh to sirf shruaat hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, September 3, 2009

Apni Qismat

Baat dil ki jo thi, woh dabi rah gayi
Zindagi mei kisi ki  kami rah  gayi,
        mere aagan taraf, dhoop ki peeth thi
        mere ghar aate-aate chandni rah gayi,
raat ki oans mei, bheegi chhat ki tarah
meri palkon pe bhi kuch nami rah gayi.
        yun to bolne ki aadat bahut thi meri
        'woh' baat ankhon tak aakar wahin rah gayi,
qismaton ki likhawat main nahi padh saka
parat moti thi dhool ki jo jami rah gayi,
        maine galti se jo dekha aasmaan ki taraf
        mere pairon se khisakti phir zamin rah gayi
kar to sakta tha qurbaan sau tujh pe jaan
dil ke kone mei kuchh bebasi rah gayi
        pyar sharton pe mujhko gwara nahin
        mere daaman se lipti muflasi rah gayi,
Ishq karke jahaan mei mila hai koi
rasme qudrat ki thi jo sahi rah gayi
        ab to saanson ki "Mushk" ko zaroorat nahin
        Dharkano mei to teri kami rah rah gayi,
....Baat dil ki jo thi woh dabi rah gayi
....Zindagi mei kisi ki kami rah gayi.

Mahtab Alam (Mushk)

Wednesday, September 2, 2009

Apni Haalat

Aahen aise bharon ke hum pighal jaayen
pyar  aise  karo  ke  tum  ko  mil   jaayen,
          Aziz  aise  rakho  ke  dil  bahal   jaaye
          Is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaaye,
"Mahtab"  tune bahut  der  talak  raah dekhi
Dua yahi hai ke qismat 'ki' tujhko mil jaaye,
          Hans ke bahuton ko tune khushi baanti
          jaa  tera   gulshan bhi  abke  khil jaaye,
Na  koi  raah, na  mahfilen  mujhko  dikhti  hai
meri manzil hai wahi, humdum jidhar nikal jaaye.

Mahtab Alam (Mushk)

Girdhar

Mera ek bhi par gayaa to tu mar jayega,
naam Girdhar hai tera aur bhi gir jayega.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, September 1, 2009

Shaadi se Pahle (Ashish & Puru)

Jine ke din ab aap ke bache hain kul chaar,
khud ki kushiyan pare kam to lelen kisi se udhar.
na karen gum itna, yahi qiamat ka lekha hai,
kya apne bado ka aapne, yahi haal na dekha hai.
Aaj aap ki to phir kal hamaari baari hai,
par is waqt aapke saath, hamari hamdardi saari hai.
Yeh hai aisa dokha, har ki aazmane ki taiyari hai,
naye samaaj mei bhi chal rahi, yeh purani bimaari hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Shaadi ke Baad (Ashish & Puru)

Badle badle hain janaab, aakhir yeh maajra kya hai,
zara hum bhi to sune, kal shaam hua kya hai.
Chehre pe chamak ankhon mei bhari hai nazakat,
hai shuru shuru ka pyar yeh, khuda rakhe salaamat.
Magar afsos ke woh din bhi jald aayega,
chehra sujaa hua aur ankhen nam payega.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, August 28, 2009

Dharkan-e-Mahtab

Mere liye to tu hai, tere liye zamana,
teri kushi mei hasna, gum tere baant rona.
Deta hai dil duayen, yuhin nayaab rahe tu,
dil ki talab nahi sirf, dharkane mahtab rahe tu.

Mahtab Alam (Mushk)

Begaane

Aaj kal kuchh log begaane se nazar aane lage,
yun to milne ko mile par nazron se katraane lage.

Mahtab Alam (Mushk)

Ghar

Meri bheegi hui palkon ko koi manzar nahi milta,
Jabse chhor rakha hai ghar apnaa koi ghar nahi milta.

Mahtab Alam (Mushk)

Ghar

Meri bheegi hui palkon ko koi manzar nahi mila,
Ghar chhor diya jabse apnaa koi ghar nahi mila.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, August 27, 2009

Ramzaan

Bezubano ko jab woh jubaan deta hai,
padhne waalon ko phir woh quran deta hai.
Bakshne pe aaye jab woh gunah bandon ke,
tohfe mei phir woh maah-e-ramzaan deta hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Wajah

Qudrat ke karishmon mei agar raat na hoti,
to khwabon mei bhi shayad mulaqaat na hoti
yeh dil hi zamane mei har gam ki wajah hai,
jo dil hi agar na hota to koi baat na hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, August 25, 2009

Yaad Aaya

Aaj ek khota hua dost bahut yaad aaya
achha guzra hua kuchh waqt bahut yaad aaya.
Meri aankhon ke har ek ashk par rone waala
aaj phir bheegi jo palken to bahut yaad aaya.
Jo mere dard ko baaton me chhupa leta tha
aaj phir jo dard hua to bahut yaad aaya.
Woh mere dil ke qareeb tha barson se
dil ko tanha jo paaya to bahut yaad aaya.

Mahtab Alam (Mushk)

Tu saath chal

Banke mera hum qadam tu saath chal
kuchh to ho tanhaayi kum tu saath chal
yun to hain kitne hi humraahi magar
hai safar me dost kum tu saath chal.
Hai qadam me faasle parwaah nahi
dil se dil ka raabta hai tu saath chal
gar hai hatheli mehroom tere naam se
kheench doonga inpe lakiren tu saath chal.

Mahtab Alam (Mushk)

Fareb-e-dosti

Zamaane bhar ne loota hai fareb-e-dosti dekar,
agar tum saath do mera to sabse dushmani karlun.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, August 21, 2009

Pyari Maa

Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
Tere aanchal ki thandhi hawa chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Lori ga ga ke hamesha sulaati thi tu
Sir sahla kar phir sawere uthhaati thi tu
Mujhko teri yeh aadat bakhuda chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Teri khidmat se duniya me azmat meri
Tere paaon ke neeche hai Jannat meri
Tujhe khush karke mujhe do jahan chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Teri mamta ke saaye me phoolun phalun
Thaam kar ungli teri main badhta Chalun
Thak main jaoon to tera hi aasra chahiye
Pyari Maa Muj Ko Teri Dua Chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

De to sakta nahi main badla tere pyar ka
Jo tera tha mera, ab sab mera hai tera
Kar bhi sakta hoon Qurbaan sau tujhpe jaan
Par bata tujhko duniya me aur kya chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, August 17, 2009

iraada

Marne ka tere gham mein koi iraada to nahi hai,
Mana ke pyaar hai, par itna bhi zyada to nahi hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Bandagi

Bandagi aisi ho ki khuda hashr me keh uthey,
ye banda do alam se khafa tha sirf mere liye.

Mahtab Alam (Mushk)

Mohabbat Bandagi Hai

Mohabbat bandagi hai is me tan ka qurb mat chaho,
Ke jis ko chhu liya jaye usey pooja nahi kartey.

Mahtab Alam (Mushk)

Paimaana

Usne ulfat ke bhi paimaane bana rakhe the
Par mene chaha tha use had se guzar jaane tak.

Mahtab Alam (Mushk)

Saadgi

Tum do fareb aur main samjhoo hunar use
Itni bhi saadgi ka ab zamana nahi raha.

Mahtab Alam (Mushk)

Shirkat

Apni chahat me koi shirkat mujhe manzoor nahi
Ab tujhe bhi teri khwahish nahi karne dunga.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, August 14, 2009

Mehdood

Main apni khwahishein mehdood kar ke ji lunga,
Tu apne aap ko mera khuda na samjha kar.

Mahtab Alam (Mushk)

Teri Mehfil mein

Main yahi soch ke baitha hoon teri mehfil mein,
Shama jo bujh jaye to phir kaun hai jalne ke liye.

Mahtab Alam (Mushk)

Qismat

Haath na aayi duniya bhi , ishq mein bhi gumnaam rahein
Soch ke ab sharminda hain, kyun dono mein nakaam rahein.

Mahtab Alam (Mushk)

Mohabbat ki zaban

Aankhen Bayan kar deti hai dil ke har raaz aksar
Bahut khamoosh ye mohabbat ki zaban hoti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, August 11, 2009

Bedard zamana

Bedard zamana hai ummeed-e-karam kaisa,
apne hain beganon se gairon se sitam kaisa.

Mahtab Alam (Mushk)

Saadgi ka daaman

Yun Saadgi ka daaman kabhi chhorte nahin hum,
ke bad-tameez logon se phir bolte nahin hum.
Badsuluki ab to mere tasawwar ki ek ada hai
par dil se mila jo koi to munh morte nahin hum.

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, August 10, 2009

khatam

Gar-chah nayi subah aati hai her ek shaam ke baad
Phir kyun khatam hai meri duniya tere naam ke baad

Mahtab Alam (Mushk)

Raasta

Hiza- re-zaat koi raasta to de mujh ko
Bare dino se tamanna he khud ko paane ki

Mahtab Alam (Mushk)

Dekhne walon

Ai dekhne walon yun mujhe hans hans ka na dekho
Tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, August 7, 2009

Rafta-Rafta

Usko mehsoos bhi na ho , yun kahani ko humne mod diya
Milne julne me ki kami pehle, phir rafta rafta use bhi chhod diya.

Mahtab Alam (Mushk)

Main Gareeb

Main thoda gareeb hoon, per wo mere qareeb hai
Ya to main khush naseeb hun, ya wo kuch ajeeb hai

Mahtab Alam (Mushk)

khwab chhupana

Palkein chamak uthi hai sote me hamari
Aankho ko bhi khwab chhupane nahi aatey.

Mahtab Alam (Mushk)

Ahl-e-zarf

Hazar gham sahe lekin na aaya aankh me aansoo
Hum Ahl-e-zarf hai peete hai chalkaaya nahi karte.

Mahtab Alam (Mushk)

Meri baat

Tu mujhe bhool bhi jaye to ye haq hai tujh ko
Meri baat aur hai ke maine to mohabbat ki hai

Mahtab Alam (Mushk)

Ajeeb saza

Hans hans ke zindagi ki dua de gaya mujhe
Wo shaks bhi ajeeb saza de gaya mujhe.

Mahtab Alam (Mushk)

ILzaam

Tum mere liye ab koi ilzaam na dhoondho
Chaha tha tumhe itna hi ilzaam bahut hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, August 4, 2009

Todna tootey dilon ka

Todna tootey dilon ka achcha nahi hota hai
Toot-ta hai mehfil me par tanhai me hi rota hai,

Khushi maang kar lena hargiz mujhe manzoor nahi
Maangi hui daulat se kahan kiska bhala hota hai

Mahtab Alam (Mushk)

Takalluf aur ekhlaq

Tum takalluf ko bhi ekhlaq smajh lete ho mahtab
Dost hota nahi har koi haath milaane wala,

Mahtab Alam (Mushk)

Parakhna

Parakhna mat ,parakhne se koi apna nahi rehta
Or kisi bhi aieney me der tak koi chehra nahi rehta,

Badey logo se milne se hamesha faasle rakhna
Ke darya jab mile sagar se,fir darya nahi rehta.

Mahtab Alam (Mushk)

Sawaal

Log raah me ruk-2 ke sambahlte kyu hai…
Itna darte hain to fir ghar se nikalte kyu hai…..

Na mai jugnu hu, diya hu, naa koi taara hu
Rashni wale fir mere naam se jalte kyu hain…….

Neend se mera talluk kaha hai barso se…
Khwaab aa-2 ke fir mere chhat pe tahalte kyu hain

Mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye…
Log sab fir isi mod pe aake fisalte kyu hain.

Mahtab Alam (Mushk)

Khyaal

Rah chalte mujhe ye khayaal aa gaya
Apni kaarwaiyon pe malaal aa gaya,

Gunah mere tufl se kuch zyaada hi the
Maaf kar kar ke khuda ko jalal aa gaya,

Zindagi apni sharton pe ji li bahoot
lautna hai khuda ko phir sawal aa gaya,

jahaan ki har shai mei haq dhoonda magar
isme apni bhi mashguliat ka misaal aa gaya.

Mahtab Alam (Mushk)

Masroof - Cellworks (Neuro)

Bahut masroof rehte hain, subah se sham hone tak
Bahut sa kaam karte hain, zara sa kaam hone tak,

Uthein zehmat karein ab aap bhi, gaye sab aashiyaane ko
Ya khayal rukne ka hai or bhi, Reddy ka elaan hone tak,

Hazaron khwahishein hongi, arey sabki hoti hai
Unhe kya taalte rahoge aap, zindagi tamaam hone tak,

Lagan hai aap ki achchi, dua kyunkar na de koi
Khuda kamyaab rakhey har kadam, jahan me naam hone tak.

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, August 3, 2009

Twaareef

Is anjuman me mehakta guliste to hain bahut
Wo taazgi kaha jo aapki berukhi me hai

Karne pe bhi ab aapki badayi mai kya karoon
Ki achchaiyon ki parakh mujhe to aapki roshni me hai.

Aapke roshan muqaddar se jahan me roshni howe
Kamyabi ki har kiran to aapki shaeestagi me hai

Dua manzoor us khuda ko hogi na kyun bhala
Ki ek alag si aazazi aapki bandage me hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Bewafayi

Raah-e-guzar mein teri adawat bhi na rahi
Jo tumne mujhse ki thi wo mohabbat bhi na rahi

Ruswaiyon ke dar se chhupna pada tumhe
Ek nazar-e-karam ki ab to inaayat na rahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Dil ki Dua

Zameen badle zamaa badle ,zamane ki hawa badle
Jo main badlu agar tujhse ,to phir mera khuda badle.

Meri saanso me tu hai, tu meri hare k nafso me
Tere bin mai adhura tujhse hi mere sabhi masle

Mera har ek lamha teri khushi batorne me hai
Fana kar doon mai khud ko bhi taaki tu zara hans le

Tamanna hai ki roshan ho teri duniya teri mehfil
Ujaala dene ko tujhko jala doon ghar sabhi apne

Jahan mein thokren kitni ,hazaron qism musibat hai
Yahi rab se dua meri ke tu har mod pe sambhle

Mere jivan ki har khwahish bas tujhse musarrat hai
Prashtish hai meri aakhir tere koonche me dum nikle.

Har ek pal tu mere sang hai ,ya to hai tasauur mein
Palon ke darmiyane pal bhi tujhe milne ko dil machle

Haan mere “mushk”-e-bahara se khiza teri sawarunga
Khile tera gulistan aur daman bhi tera sajle…………

Mahtab Alam (Mushk)

Talaash

Ye zara zara si baat pe, wo tarah tarah ka aazaab hai

Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe us khuda ki talaash hai.


Kar ke khoon mai farq ka guman hum raishte naaton me hain jujhte

Jo kisi se bhi juda na ho mujhe us dua ki talaash hai.


Yu to zinda hai gar koi , to hai saans lena hai laazmi

Jo khiza me bhi ehsaase bahr de, mujhe us hawa ki talaash hai,


Wo yahan bhi hai, wo wahan bhi hai, jahan nahi koi wo waha bhi hai,

Jahan uski maujudgi ka asar na ho, mujhe us jaagah ki talaash hai.


Mera khud me ab bacha hai kya, mujhme haq nikalta bahuton ka,

Jo ho mera or suno mai hi khud, mujhe us sada ki talaash hai.



Mahtab Alam (Mushk)

Talaash

Ye zara zara si baat pe, wo tarah tarah ka aazaab hai

Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe us khuda ki talaash hai.


Kar ke khoon mai farq ka guman hum raishte naaton me hain jujhte

Jo kisi se bhi juda na ho mujhe us dua ki talaash hai.


Yu to zinda hai gar koi , to hai saans lena hai laazmi

Jo khiza me bhi ehsaase bahr de, mujhe us hawa ki talaash hai,


Wo yahan bhi hai, wo wahan bhi hai, jahan nahi koi wo waha bhi hai,

Jahan uski maujudgi ka asar na ho, mujhe us jaagah ki talaash hai.


Mera khud me ab bacha hai kya, mujhme haq nikalta bahuton ka,

Jo ho mera or suno mai hi khud, mujhe us sada ki talaash hai.



Mahtab Alam (Mushk)

Saturday, August 1, 2009

Talaash-e-Andaaz

Bahut aib hai mujhme, magar aaj bhi mujhko

Apno se khafa hone ka andaaz na aaya……....


Mahtab Alam (Mushk)