Tuesday, October 6, 2009

IshQ-e-Mushk

Tu is tarah se meri zindagi mei shaamil hai,
jahan bhi jaata hoon lagta hai teri mahfil hai.
Yeh kaisa ishq hai kaisi teri talab hai mujhe,
ke dil mera bhi ab apne khuda se gaafil hai.
Na koi raah na raah-e-nishaan dikhe hai mujhe,
tu thahar jaaye jahaan wohi meri manzil hai.
Bikhar to sakta tha main chhoti chhoti lahron mei,
mere hadon ko samete tu mera saahil hai.
Uski dilkash nazar pe na koi ilzaam rakho,
main qatl ho bhi gaya na koi mera qaatil hai.
Na husn-e-yaar ki mahtab ab badayi kar,
hairan to yun hun ke uska khuda bhi kaaeil hai.
Tere siwa na kisi aur ki talab mujhko,
tere wajood se mera jahan kaamil hai.
Woh ek dua hai tu jo har dilon me basti hai,
har ek shai me tere rahmat khuda ki naazil hai.
Jahaan ki naematen mujhko na ab lubhati hai,
ke teri wafa tera nazre karam to haasil hai.
Sabaq yeh deta hoon apne desh ke bimaaron ko,
main jubaan-e-hindi hoon, mahboob mera taamil hai.

Mahtab Alam (Mushk)

1 comment:

  1. Mehboob ki pehchan uski mohabbat hai
    Na Zami hai na Juban hai
    Mehdood kar tukde mei na baat use
    Zarre zarre mei shamil uski deewangi hai.

    ReplyDelete