Tuesday, August 25, 2009

Tu saath chal

Banke mera hum qadam tu saath chal
kuchh to ho tanhaayi kum tu saath chal
yun to hain kitne hi humraahi magar
hai safar me dost kum tu saath chal.
Hai qadam me faasle parwaah nahi
dil se dil ka raabta hai tu saath chal
gar hai hatheli mehroom tere naam se
kheench doonga inpe lakiren tu saath chal.

Mahtab Alam (Mushk)

3 comments:

  1. Hai agar zazbay-e-dosti parwan par
    Aa kar le mere har gunah apne naam par
    lafzo mei baya to har koi kar leta hai
    Hai agar itni mohabbat to rahe pulsirat pe saath chal..

    ReplyDelete
  2. leta to sakta hoon gunaah tera main hanste hue
    par iltiza hai gunahgaaron ke na tu saath chal.
    gar kahi hai baat to karne ka bhi jazba rakhta hoon main
    pulsiraat khuda ne tanha rakha baaqi har jagah tu saath chal.

    ReplyDelete