Friday, August 21, 2009

Pyari Maa

Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
Tere aanchal ki thandhi hawa chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Lori ga ga ke hamesha sulaati thi tu
Sir sahla kar phir sawere uthhaati thi tu
Mujhko teri yeh aadat bakhuda chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Teri khidmat se duniya me azmat meri
Tere paaon ke neeche hai Jannat meri
Tujhe khush karke mujhe do jahan chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Teri mamta ke saaye me phoolun phalun
Thaam kar ungli teri main badhta Chalun
Thak main jaoon to tera hi aasra chahiye
Pyari Maa Muj Ko Teri Dua Chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

De to sakta nahi main badla tere pyar ka
Jo tera tha mera, ab sab mera hai tera
Kar bhi sakta hoon Qurbaan sau tujhpe jaan
Par bata tujhko duniya me aur kya chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Mahtab Alam (Mushk)

6 comments:

  1. Extemely superb bhai......
    Maar hi daala!!!!!!!!!

    ReplyDelete
  2. Extremly superb ................
    Bhai aapne to maaar hi daala.....
    Jaan hi nikal gayi.......
    Rote rote do borey bheeg gaye......
    Bhai aap itna kaha se sochte hain?????

    ReplyDelete
  3. Bik jati hai har chiz is jahan mei
    Jo na bike wo maa ka pyar hai.....

    Kar liya har khwaish ko kalamband aapne
    Jo rah gay wo gard mujhe chahiye...

    ReplyDelete
  4. khwahish meri har khwahish ko teri, apne undar samete ho
    gard na chhu paaye tujhe,yun khuda apni chadar lapete ho.

    ReplyDelete
  5. safa-e-hasti pe likhti he usool-e-zindagi

    Is liye ek maktaba-e-islam kehlaati he maa

    ReplyDelete