Wednesday, December 30, 2009

Zamana hi nahi

Dil se utar jaaye to tarq dun sab, sirf zamana hi nahi,
lagta hai tum ne abhi tak, mahtab ko pehchaana hi nahi.
Khud se zyada tujhe chaaha tha, yahi khata thi apni,
par Qadr mere jazbaaton ki, tum ne to jaana hi nahi.
Jab se chhora hai tujhe, chhor di hai sab ummeedein,
ab itne dil lagaane ke Qaabil, bacha zamana hi nahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, December 29, 2009

Rahne Do

Ye khamushi bhi hamari ana ka parda hai,
Sawaal Karte raho, jawaab rahne do.

Safar ka saath hai ye manzilon ka saath nahi,
Guzar hi jaenge ye lamhen, hisaab rahne do.

Mahtab Alam (Mushk)

Jo Tum

Jo tum hume chaahoge ek zara,
to hum tumhe chaahenge be-inteha.
Jo tum hume bhulaoge zara sa,
to hum tumhe bhul jayenge puri tarah.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, December 25, 2009

Hai to hai

Akhtar:

Vo Nahi Mera Magar Us Se Mohabat Hai To Hai,

Yeh Agar Rasmo Rivazo Se Bagawat Hai To Hai

Sach Ko Maine Sach Kaha Jab Keh Diya To Keh Diya,
Ab Zamaneki Nazar Mein Ye Himaakat Hai To Hai

Dost Ban Kar Dushmano As Vo Satata Hai Mujhe,
"Fir Bhi Us Pathar Dil Pe Marna Apni Fitrat Hai To Hai"


Kab Kaha Mainey Ki Vo Mil Jaye Mujhko,
Uski Bahon Mein Dum Nikle Itni Hastrat Hai To Hai

Jal Gaya Parvana To Usme Shama Ki Kya Khata,
Yun Raat Bhar Jalna-Jalaana Uski Kismat Hai To Hai

Vo Sath Hai To Zinda Hu,
Meri Saanso Ko Uski Zaroorat Hai To Hai.....

Dur They,Dur Renhenge Har Dum Ye Zamein Asmaan,
Duriyon Ke Baad Bhi Dil Mein Kurbat Hai To Hai

Mainey Kab Kaha Tu Mil Hi Jae Mujhe,
Par Gair Na Ho Jaye Itni Is Hasrat Hai To Hai.

Saturday, December 19, 2009

Main Wohi Hoon

Main wohi hoon jise tum dost kaha karte the
Din mei sau baar mera naam liya karte the.

Aaj kya baat hai kyun mujh se khafa baithe ho
meri sab achhayion ko ikdam bhula baithe ho.

Faasle itne to kabhi pahle na hua karte the
Main wohi hoon jise tum dost kaha karte the.

Mahtab Alam (Mushk)

Chalay

Har cheez tumhaari lauta di
Hum Lekar nahi kuch saath chalay.

Phir dosh na dena ai jag waalon
Hum dekho khaali haath chalay

Yeh raah akelay sabko kaatni hai
Yahan Saath na koi yaar chalay.

Us paar na jaane kya paayoon
Is paar to sab kuch haar chalay.

Mahtab Alam (Mushk)

Torna Toote Hue Dil Ka

Torna toote hue dil ka bura hota hai
Jis ka koi nahi us ka to Khuda hota hai.

Mang kar khushi loon kisi se mujhe manzoor nahi
Are kis ka maangi hui daulat se bhala hota hai.

Log naahak kisi majboor ko kahte hain bura
Aadmi achhe hain par waqt bura hota hai.

Kyon Mahtab apni tabahi ka ye kaisa shikwa
Jaisa taqdeer mein likha hai ataa hota hai.

Mahtab Alam (Mushk)

To Baat Thi

Zakhmon ko soz-e-dil se jo bharta to baat thi
Tu dard ban kar dil mein utarta to baat thi.

Mere kisi bhi dukh ka rishta na tha magar
Har dukh teri ataa se nikharta to baat thi.

Dil torna to kaam hai tera, is mein kamal kya
Tu bach ke is sitam se guzarta to baat thi.

Patthar ke ho rahe the jahan mein tamaam log
Wahan zindagi ki tarah tu thaharta to baat thi.

Phir dekh lete hum bhi jahan ki jurratein
Ruswayion se jo tu na darta to baat thi.

Mahtab Alam (Mushk)