Akhtar:
Vo Nahi Mera Magar Us Se Mohabat Hai To Hai,
Yeh Agar Rasmo Rivazo Se Bagawat Hai To Hai
Sach Ko Maine Sach Kaha Jab Keh Diya To Keh Diya,
Ab Zamaneki Nazar Mein Ye Himaakat Hai To Hai
Dost Ban Kar Dushmano As Vo Satata Hai Mujhe,
"Fir Bhi Us Pathar Dil Pe Marna Apni Fitrat Hai To Hai"
Kab Kaha Mainey Ki Vo Mil Jaye Mujhko,
Uski Bahon Mein Dum Nikle Itni Hastrat Hai To Hai
Jal Gaya Parvana To Usme Shama Ki Kya Khata,
Yun Raat Bhar Jalna-Jalaana Uski Kismat Hai To Hai
Vo Sath Hai To Zinda Hu,
Meri Saanso Ko Uski Zaroorat Hai To Hai.....
Dur They,Dur Renhenge Har Dum Ye Zamein Asmaan,
Duriyon Ke Baad Bhi Dil Mein Kurbat Hai To Hai
Mainey Kab Kaha Tu Mil Hi Jae Mujhe,
Par Gair Na Ho Jaye Itni Is Hasrat Hai To Hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
supub kyaaaaaa likhaaa hai don bhai aapne
ReplyDeleteye line to bhut hi achi hai
Kab Kaha Mainey Ki Vo Mil Jaye Mujhko,
Uski Bahon Mein Dum Nikle Itni Hastrat Hai To Hai
Jal Gaya Parvana To Usme Shama Ki Kya Khata,
Yun Raat Bhar Jalna-Jalaana Uski Kismat Hai To Hai
kismat shama ki unhi nahi likhi gaii
isme bhi khuda ki maslahat hai to hai