Zindagi aisi bewafaa kyun hoti hai,
wafa karne ki bhala sazaa kyun hoti hai.
Chhoti si baat pe bhi baha dete hain khoon,
kya pata logon me aisi anaa kyun hoti hai.
Karta hoon mai jis se baar baar tauba,
ya ilaahi mujhse wohi khata kyun hoti hai.
Banaate to hain hum apne haathon se masjid,
namaaz phir apni hi qazaa kyun hoti hai.
Mahtab Alam (Mushk)
Friday, October 9, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Yun to hamare khwaisho ki imtiha nahi hoti
ReplyDeleteho har arzoo puri aisi koi shart nahi hoti
Ban jate hai apne hi chahato ke gulam
Warna khuda ki chahat mei itni kami nahi hoti
Awesome mahtab bhai really its great ...........
ReplyDeleteThe last lines really mean something and they give very good lesson.........
its really great
ReplyDelete