Thursday, October 29, 2009

Tere Bagair

Meri bhi aankhon mei nami hai, tere bagair
Ab kahaan fizaa shabnami hai, tere bagair.
Waqt ki raftaar badalti rahti hai, badal jaoge
Hum bhi jeena seekh hi lenge, ab tere bagair.

Hum to hawa the khirki, kyun kholte rahe tumne
Gharse nikala, lekin sanson se ab laroge, mere bagair.
Meri bisaat tum ne, samajh kar bhi mita daali
Shikwa! kahan hai koi samajh paya mujhe, mere bagair.

Mahtab Alam (Mushk)

2 comments:

  1. Meri aankho ki nami tu kabhi samajh hi na saka
    Muskuraate labon me thi kuch kami, tu samajh hi na saka,
    Door hokar bhi har lamha tere qareeb tha, magar tu apne dil ki dhadkan ko hi na samajh saka
    Shikwa kya karey ab "Akhtar", toota tha kisi ke chahat me
    maang to li usne muraad ,par mere dard ko na samajh saka...........

    ReplyDelete
  2. Koi haal sunata hai to koi hale dil sunta hai,
    Guzarti hai jis par woh ghameghusar sunata hai.

    Abhi to ye mohabbat ki shuruwat hai janab,
    Inhi marhalon se guzar kar ishq irfan kahlata hai.

    ReplyDelete