Friday, October 9, 2009

Na Ki Jiye

Yun Dosti Ke Naam Ko Rusvaa Na Ki Jiye
Tark-E-Taalluqaat Ka Charcha Na Ki Jiye

Jurm-O-Sitam Ke Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Ki Jiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-E-Fardaa Na Ki Jiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Ki Jiye

Mahtab Alam (Mushk)

1 comment:

  1. Rishto ke dor bade nazuk hote hai
    Yun bedardi se unko toda na kijiye

    Bebasi se har shaks majbur hai apne
    Bewafa kah kar zakhmo ko kureda na kijiye

    Har ashq gire jo unki furqat mei
    Pani samajh kar yun ruswa ni kijiye

    Bade pechide hote hai ye rishto ke raste
    Tham kar kisi ka haath choda na kijiye

    ReplyDelete