Saturday, October 17, 2009

Khuda

Gazal:

Kabhi Maa mei nazar aate ho
Kabhi walid mei nazar aate ho
Kya tera jalwa hai
jidhar dekhu udhar tum hi nazar aate ho

Kabhi yusuf ke husn mei nazar aate ho
kabhi Meera ki diwangi mei nazar aate ho
Lag jaye jisko teri lagan
Uske liye apni Bahist bhi bicha dete ho

Banake humko apna deewana
Duniya ki nazar mei pagal bana dete ho
Kabhi aate ho Nooh banke to kabhi Musa banke
Fir Mohammad ko hamara rahnuma bana jate ho

Hote ho har jagah aur kahi bhi nahi
Nigaho par aisi pardagi kyo kar jate ho
Dete ho Aqql hume raee ki
Fir pahado sa sawal kar jate ho

Kabhi toor ki roshani mei nazar aate ho
To kabhi gum ki tariqio mei nazar aate ho
kabhi machli ke pet se nikal late ho
To kabhi sahil par hi duba dete ho

Ek darakht se dekar fal
Fir biz wahi daal jate ho
Teri rahmato ka koi parwan nahi
Dekar gunaho ki aqql fir afsos-e-hunar bhi de jate ho.

Ye meri bebasi hai ya teri misal-e-ulfat
ki har gunah ke baad bhi aata kar dete ho
Zarra-zarra hairan hai teri azmato se
Ye khuda kya kabhi tum khud mei bhi nazar aate ho

No comments:

Post a Comment