Baat dil ki jo thi, woh dabi rah gayi
Zindagi mei kisi ki kami rah gayi,
mere aagan taraf, dhoop ki peeth thi
mere ghar aate-aate chandni rah gayi,
raat ki oans mei, bheegi chhat ki tarah
meri palkon pe bhi kuch nami rah gayi.
yun to bolne ki aadat bahut thi meri
'woh' baat ankhon tak aakar wahin rah gayi,
qismaton ki likhawat main nahi padh saka
parat moti thi dhool ki jo jami rah gayi,
maine galti se jo dekha aasmaan ki taraf
mere pairon se khisakti phir zamin rah gayi
kar to sakta tha qurbaan sau tujh pe jaan
dil ke kone mei kuchh bebasi rah gayi
pyar sharton pe mujhko gwara nahin
mere daaman se lipti muflasi rah gayi,
Ishq karke jahaan mei mila hai koi
rasme qudrat ki thi jo sahi rah gayi
ab to saanson ki "Mushk" ko zaroorat nahin
Dharkano mei to teri kami rah rah gayi,
....Baat dil ki jo thi woh dabi rah gayi
....Zindagi mei kisi ki kami rah gayi.
Mahtab Alam (Mushk)
Thursday, September 3, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment