Wednesday, September 2, 2009

Apni Haalat

Aahen aise bharon ke hum pighal jaayen
pyar  aise  karo  ke  tum  ko  mil   jaayen,
          Aziz  aise  rakho  ke  dil  bahal   jaaye
          Is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaaye,
"Mahtab"  tune bahut  der  talak  raah dekhi
Dua yahi hai ke qismat 'ki' tujhko mil jaaye,
          Hans ke bahuton ko tune khushi baanti
          jaa  tera   gulshan bhi  abke  khil jaaye,
Na  koi  raah, na  mahfilen  mujhko  dikhti  hai
meri manzil hai wahi, humdum jidhar nikal jaaye.

Mahtab Alam (Mushk)

3 comments:

  1. ye kyaa ke sab se bayaaN dil kii haalaten karani
    'Mahtab' tujh ko na aaii muhabbaten karani

    ReplyDelete
  2. pahale pahal kaa ishq abhii yaad hai 'Faraz'
    dil Khud ye chaahta hai ke rusvaaiyaaN bhii ho

    ReplyDelete
  3. aankh se door na ho dil se utar jayega
    waqt ka kya hai, guzarta hai guzar jayega.
    itna maanoos na ho khilvat-e-gam se apni
    tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega.

    tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge
    aur wo baam-e-rafaqat se utar jayega.

    zindagi teri ataa hai, to ye jaanewala
    teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega

    doobte-2 kashti ko oochaal de doon
    mai nahi, koi to sahil pe utar jayega

    zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka
    zaalim ab ke na royega to mar jayega

    ReplyDelete