Friday, September 4, 2009

Cellworks

Aao doston is shama mei, sun len kuchh gaur se,
yeh hamari aur tumhari, apne Cellworks ki baat hai.
        Main ise ek company, hargiz tasauwar karta nahin,
        yaqeen maano isme chhupi, ek family ki jazbaat hai.
Sub'h ke shabnami bundon, ki tarah hum chand hain,
par kisi ko bhi bhigone, ki hamaari auqaat hai.
        Koi dilli koi kerela aur koi mumbai ki bolta hai,
        baithe ho agar saath hum to, ek jubaan eksi hi baat hai.
Kaun kehta hai hamaara mustaqbil achcha nahin,
is recession ke samay bhi, changi hamaari halaat hai.
        Preshaniyan hoti hain pal ki, aana jaana kaam iska,
        hum agar himmat rakhen to, Cellworks hamare saath hai.
Naam lekar apne khuda ka, mahtab hausle se kaam le,
waqt ke har imtihaan ko, phir hamaari maat hai.
        DRD, iCPHYS, aur Model development bhi kuchh aisa kiya,
        Science ki duniya ko yeh sab, cellworks ki saugaat hai.
MS/MTB ki to waqayi, har taraf hi dhoom hai,
must hai member sabhi, team lead ki anokhi baat hai.
        Computational ki utility, mehnat kam karwaati hai,
        model development mei bhai, inka bahut haath hai.
Neuro ki numerology bilkul nahi jach paa rahi,
badi mushkil se purushottam mila, woh bhi kahan ab saath hai.
        Inflammation ki taraqqi bari tezi mei dikhti hai,
        cellworks family ka yeh, akela aadha part hai.
Skin to hai chhota par gun badaa rakhta hai,
cellworks ke har function mei inki mushguliat hai.
        Oncology ka to loha sab ne hi maana hai,
        drug study, integration pe inki hi bisaat hai.
Biosignoff aur cardio ka bhi, yogdaan kuchh kam nahin,
har developer ki to inse, hoti baar baar mulaqaat hai.
        Timing ki wajah se, suraj hai hum se naraaz sa,
        aate jaate dono hi pal mei, milti to hamen raat hai.
Top lead aur management ka mai shukr adaa karta hoon,
40 hazaar crore tak yuhin badhte rahen, yeh to sirf shruaat hai.

Mahtab Alam (Mushk)

No comments:

Post a Comment