Tumhein Main Bhool Jaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Humeisha Muskuraoon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Tumhari Har Nishaani Ko Main Dariya Burd Kar Doon Ga
Tumharey Khat Jala Doon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Tumhara Zikar Mehfil Mein Huwa To, Khamosh Rehna Hai
Main Khud Ko Aazmaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Tujhey Waapis Bulaana Hai, Na Deni Hai Sadaa Koyi
Main Yoon Dil Ko Manaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Chalo Ye Teh Huwa Humdum, Hijr Ke Geet Koyi Bhi
Kabhi Na Gungunaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Chalo Tum Say Ye Waada Hai, Ke Dil Mein Dard Hain Jitney
Kisi Ko Na Sunaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Sitaaro Neend Ke Maaro, Chalo Khuwabon Ki Duniya Mein
Main Bhi So Hi Jaoon Ga, Magar Waada Nahin Karta
Chalo Ye Tum Say Waada Hai, Koyi Bhi Qeemti Moti
Na Aankhon Say Giraoon Ga, Magar Waada Nahin Karta.
Mahtab Alam (Mushk)
Saturday, February 13, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment