GAZAL:
Waqt ki shak se ek lamha churana chaha tha
Sikander ki tarah kismat azmana chaha tha
Na maloom tha mukadar ki maar kya hoti hai
apne daman mei thodi khusiya bharna chaha tha
Gum-e-zindagi ke sitam hote hai aise bhi
Kabhi apno ki ruswai na chaha tha
Aa Jayega mera safar iss mod par
Gumrahi ka aisa rahe gujar na chaha tha
Hasne lage ye zamana meri bebasi par
Apni quwato ka aisa mujahira na chaha tha
Ek adna ins ke jaise ek arzoo thi meri
Ki rehaan ki bulandiyo ko chuna na chaha tha
Kyo galib ho gaya hum par tera ye sitam
Humne to Dua mei kisi ka bura na cahaha tha
Kyo mahroom ho gayi Gazal chand khusiyo se
Ki Iltaza mei hume to teri jannat na chaha tha.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Raabta
ReplyDeleteYe Jo Hum Me Tum Me Raabta Hai
Khuda Kare Yeh Sadaa Rahe
Ye Chiragh Hai To Jalaa Rahe
Ye Phool Hai To Khilaa Rahe
Tujhe Naseeb Ho Sirf Muskurahatain
Tere Paas Tere Sab Habeeb Hon
Tu Jahaan Rahe Sukhi Rahe
Tere Saath Meri Dua Rahe
Jo Dua Kare Tu Woh Qabool Ho
Tera Dil Khushiyon Se Bhara Rahe
Tu Jahan Chale Sabaa Chale
Tu Jahan Ruke Bahaar Ho
Teri Jis Taraf Bhi Uthe Nazar
Wahin Mosam-E-Gul Khilaa Rahe