Jab Kabhi Zindagi Udaas Lage
Jab Kahin Bhi Sukoon Na Pao Tum
Koi Pursan-E-Haal Na Poochhe
Sari Duniya Se Haar Jao Tum
Tab Mere Dost Sirf ek Hasti
Tum Pe Nazren Karam Ki Dale Gi
Tum Se Saari Udasiyan Le Kar
Rahat-E-Qalb Tum Ko Bakhshe Gi
Jo Kahin Se Bhi Na Muyassar Ho
Woh Sukoon Maa Ke Paas Hai Humdum
Dekh Kar Dard Apne Bacchon Ka
Aankh Ho jati Hai Jis Ki Purnam
Dost Tujh Se Kahun Main, Kya Hai Maa
Muhabbaton Ka ek Jahan Hai Maa
Teri Duniya Main Gar Andhera Ho
Roshni Dene Ko phir Shama Hai Maa
Qadam Ke Neeche Hai Jannat Us Ke
Yaani Jannat Ka Aasman Hai Maa
Mashwara Mera Hai Tujhe Humdum
Todna Tu Na Kabhi, Maa Ka Bharam
Bande Woh Hi Kamal Rakhte Hain
Jo Apni Maa Ka Khayal Rakhte Hain
Ke Hadis Main Yeh Qalaam Hota Hai
Beta Maa Ka Ghulaam Hota Hai.
Mahtab Alam (Mushk)
Sunday, May 9, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment