Thursday, June 3, 2010

Bachpan Ka Zamana

Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Khushiyon Ka Khazana Hota Tha

Chahat Chaand Ko Paane Ki
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha

Rone Ki Wajah Na Hoti Thi
Hasne Ka Bahana Hota Tha

Khabar Na Thi Kuch Subohon Ki
Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha

Daadi Ki Kahani Hoti Thi
Pariyon Ka Fasana Hota Tha

Ghum Ki Zubaan Na Hoti Thi
Na Zakhmon Ka Paimana Hota Tha

Baarish Mei Kagaz Ki Kashti
Har Mausam Suhana Hota Tha

Woh Khel Woh Saathi Hote The
Har Rishta Nibhaana Hota Tha

Bachpan Ka Zamana Hota tha
Kiya Khoob Zamana Hota Tha.

Mahtab Alam (Mushk)

No comments:

Post a Comment