Saturday, April 17, 2010

Hangama-e-Gam se tang aakar izhaar-e-musarrat kar baithe
mashhoor thi apni zindaadili, daanistaa sharaarat kar baithe

koshish to bahot ki hamane magar, paayaa na Gam-e-hasti ka mafar
viraani-e-dil jab had se badhii, ghabaraa ke mohabbat kar baithe


nazaro se na karate pursish-e-Gam, Khaamosh hi rahna behtar tha
diwaano ko tumane chhed diyaa wallaah qayaamat kar baithe


har cheez nahi ek markaz par, ek roz idhar ik roz udhar
nafrat se na dekho dushman ko, shayad ye mohabbat kar baithe


Akhtar

No comments:

Post a Comment