Koi dost aisa banaya jaye
Jis ke aansuon ko palko me chhupaya jaye.
Rahe uska mera rishta kuchch aisa
Agar wo rahe udas to hum se bhi na muskuraya jaye.
Mahtab Alam (Mushk)
Wednesday, October 21, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Yeh woh mahfil hai jahan har awaaz ko milti hai saaz, Banda khadim hai khalaq ka tabhi to hai banda nawaaz.
mana mehtab teri shayari me bahut jaan hai..
ReplyDeletepar tu hamaesha bagharta apni shaan hai....
lagta hai dusro ko khush dekh kar tu thoda pareshan hai....
magar fikr na kar mere dost .. tujhse bhi kafi log pareshan hai....
kafi dino se lagta hai mila nahi koi takkar ka tujhe ....
par ab to apni thodi jaan pehchan hai...
chalta rahega apni shayari ka ye silsila ab to dekna hai kisme kitni jaan hai........
(Andaz-e-Kuhsk)
Kya Naam Hai?
ReplyDeleteMaana meri shayari ko jo zara sa, yeh aapka ehsaan hai.
Bakhubi byan kiya mere Qirdaar ko, jiske hum Qadardaan hain.
Pata nahi kab meri “shaan” se, aapki mulaqaat ho gayi,
main khudko samajhta chhota, magar Allah meharbaan hai.
Doston ki khushi mei aksar, apne gum bhula deta hun main,
phir bhi aap mujhe lutera samjhen, to yeh aapka gumaan hai.
Achhe buron ki duniya hai, oonch neech hai sab se hoti rahti,
gar log hain kuchh preshaan mujhse, kyunkar tumhari nikalti jaan hai.
Tameez se bahut ho gaya, ab aata hun tumhari auqaat par,
par afsos ke meri tumhaari tarah, gandi nahi jubaan hai.
Kayi aaye aur chale bhi gaye, koi bhi tik paata hai kahan,
tu bhi aakar aazmaale, khuda ne baksha yeh muqaam hai.
Jaan pehchaan chaahe jitni badhale, koi kaam na aayega,
mujhse bhirega to mit jayega, aage manzil teri Qabristaan hai.
Jaan ki tu hai baat karta, aur apna naam tak batlaata nahi,
buz-dil to tu lagta hi hai, par us se bhi bada nadaan hai.
Mat aazma “mahtab” ko, woh chaand hai to mushk bhi,
dilse utar jaaye to zer karde, aur bhaa jaaye to khud Qurbaan hai.