Bas ek zara khyaal uski dosti ka tha
warna bahut gila uski berukhi ka tha.
Mujhko laga ke main bhi uski zindagi me hoon,
par yeh to alag hi dokha meri saadgi ka tha.
Mahtab Alam (Mushk)
Saturday, October 17, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Ab kabhi tujh me na woh apnapn jhalakta hai,
ReplyDeleteteri nazron me ab beganapn jhalakta hai.
Tu to chehre se samajh leta tha dil ki baten,
ab teri baton me anjanapn jhalakta hai.
Dost ban kar bhi nahi saath nibhaane waala
ReplyDeletevahi andaaz he zaalim ka zamane waala
ab ise log samajhte hain giraftar mera
sakht nadim he mujhe daam me laane wala
kya kahe kitne marassim the hamare isse
vo jo ik shaks a muunh pher ke jaane wala
muntazir kis ka hu tuti hui dehliz pe me
kaun aayega yahan kaun he aanevala
maine dekha hai baharo mein chaman ko jalte
Hai koi khwaab ki taabir batanewalaa
kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laane waala
Na badle ki khwahish na shohrat ki khwahish,
ReplyDeletemujhe bas khulus wa mohabbat ki khwahish.
kiya maine shikwa kabhi na kisi se,
magar phir bhi thodi anaayt ki khwahish.