Thursday, October 29, 2009

Tere Bagair

Meri bhi aankhon mei nami hai, tere bagair
Ab kahaan fizaa shabnami hai, tere bagair.
Waqt ki raftaar badalti rahti hai, badal jaoge
Hum bhi jeena seekh hi lenge, ab tere bagair.

Hum to hawa the khirki, kyun kholte rahe tumne
Gharse nikala, lekin sanson se ab laroge, mere bagair.
Meri bisaat tum ne, samajh kar bhi mita daali
Shikwa! kahan hai koi samajh paya mujhe, mere bagair.

Mahtab Alam (Mushk)

Wednesday, October 21, 2009

Na Dena

Dosti gunaah hai to hone na dena
Dosti Khuda hai to khone na dena.

Karte ho tum agar kisi se sachi dosti
To kabhi us dost ko tum rone na dena.

Mahtab Alam (Mushk)

Har Koi

Har koi honton pe muskaan lana nahi janta
Har koi is dil ko churaana nahi janta.

Tum hi ho jo hum se jeet gaye warna
Har koi is dil ko haraana nahi janta.

Mahtab Alam (Mushk)

Nahin Hoti

Dosti se Qeemti koi jaagir nahin hoti
Dosti se khubsurat koi tasvir nahi hoti.

Dosti yun to ek kacha dhaaga hai faqat
Magar is se mazboot koi zanjeer nahi hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

Koi Dost

Koi dost aisa banaya jaye
Jis ke aansuon ko palko me chhupaya jaye.

Rahe uska mera rishta kuchch aisa
Agar wo rahe udas to hum se bhi na muskuraya jaye.

Mahtab Alam (Mushk)

Saturday, October 17, 2009

Khuda

Gazal:

Kabhi Maa mei nazar aate ho
Kabhi walid mei nazar aate ho
Kya tera jalwa hai
jidhar dekhu udhar tum hi nazar aate ho

Kabhi yusuf ke husn mei nazar aate ho
kabhi Meera ki diwangi mei nazar aate ho
Lag jaye jisko teri lagan
Uske liye apni Bahist bhi bicha dete ho

Banake humko apna deewana
Duniya ki nazar mei pagal bana dete ho
Kabhi aate ho Nooh banke to kabhi Musa banke
Fir Mohammad ko hamara rahnuma bana jate ho

Hote ho har jagah aur kahi bhi nahi
Nigaho par aisi pardagi kyo kar jate ho
Dete ho Aqql hume raee ki
Fir pahado sa sawal kar jate ho

Kabhi toor ki roshani mei nazar aate ho
To kabhi gum ki tariqio mei nazar aate ho
kabhi machli ke pet se nikal late ho
To kabhi sahil par hi duba dete ho

Ek darakht se dekar fal
Fir biz wahi daal jate ho
Teri rahmato ka koi parwan nahi
Dekar gunaho ki aqql fir afsos-e-hunar bhi de jate ho.

Ye meri bebasi hai ya teri misal-e-ulfat
ki har gunah ke baad bhi aata kar dete ho
Zarra-zarra hairan hai teri azmato se
Ye khuda kya kabhi tum khud mei bhi nazar aate ho

Gila

Bas ek zara khyaal uski dosti ka tha
warna bahut gila uski berukhi ka tha.
Mujhko laga ke main bhi uski zindagi me hoon,
par yeh to alag hi dokha meri saadgi ka tha.

Mahtab Alam (Mushk)

Nahi Aata

Na jaane kyun hame aansu bahana nahi aata
ke haale dil bhi jubaan pe laana nahi aata.
Kyun dost aksar bichhar jaate hai mujhse
shayad hame hi saath nibhaana nahi aata.

Mahtab Alam (Mushk)

Aadat hai hame

Ek alag hi pehchaan banane ki aadat hai hame,
zakhm ho jitna gahra utna muskuraane ki aadat hai hame.
Sab kuchh loota dete hain dosti me hum to,
is tarah hi dosti nibhaane ki aadat hai hame.

Mahtab Alam (Mushk)

wajah

Qudrat ke karishmon me agar raat na hoti,
to khwabon me bhi unse mulaqaat na hoti.
Yeh dil hi to zamaane me har gam ki wajah hai,
jo dil hi agar na hota to koi baat na hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

warna

Teri aarzoo me humne baharon ko hai dekha,
tere khayalon me humne sitaaron ko hai dekha.
Hame to pasand tha bas aap ka hi saath,
warna in aankhon ne to hazaaron ko hai dekha.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, October 16, 2009

Talabgaar

Dekh kitna chaaha hai tujhe kabhi gaur to kar,
ke itne to kabhi hum apne bhi talabgaar na the.

Mahtab Alam (Mushk)

Chaunk gayaa

Hansi ko apni sun ke ek baar main bhi chaunk gayaa,
ke mujhme dard chhupaane ka hunar yeh kaise aayaa.

Mahtab Alam (Mushk)

Dar Lagta Hai

Ab to aadat ho gayi hai gam sahne ki mahtab,
dar lagta hai ke kahin phir khushi na aajaye.

Mahtab Alam (Mushk)

Berukhi

Tod kar dil woh mera kahte hain kuchh awaaz hui,
berukhi apni saanson mei hai qismat yun naaraaz hui.

Mahtab Alam (Mushk)

Sahilo par

Gazal:


Jane kya kah diye marne walo ne lehro se
Ab talaq sar patakti hai sahilo par

Thursday, October 15, 2009

Gazal:


Hum zindagi se wafa karke paresha hai
Zindagi humse daga kar ke paresha hai
Na mere sabr ki imtiha hai
na uske aazmaisho ki had hai

Wednesday, October 14, 2009

Tuesday, October 13, 2009

Kaash

Woh roz dekhte hain doobte hue suraj ko mahtab,
kaash hum bhi kisi shaam ka manzar hote.

Mahtab Alam (Mushk)

Koi Kaash

Koi kaash khushiyon ki dukaan hoti,
aur hamen bhi uski pehchaan hoti.
Bhar dete khushiyon se aap ke ghar ko,
qeemat chaahe uski meri jaan hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

Yeh Aanchal

Yeh aanchal chaand sitaaron se bhar jaata hai,
ek khushi par teri koi mar bhi jaata hai.
Teri chaahat ka maqaam auron se kuchh zyada hai,
ke husn tera wafa se aur bhi nikhar jaata hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Pahunch

Shayar ki pahunch bahut door talak hoti hai,
ek taraf zameen to dooji taraf falak hoti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, October 9, 2009

Koi Khas Nahi

Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Tum Keh Dena Koi Khas Nahi

Ik Dost Hai Kacha Paka Sa
Ik Jhoot Hai Aada Sacha Sa

Jazbat Ko Dhanpay Ik Parda Sa
Bus Ik Bahana Acha Sa

Jeewan Ka Aisa Saathi Hai
Jo Door Na Ho Kar Pass Nahi

Koi Tum Se Pooche Kon Hoon Main
Bus Keh Dena Koi Khas Nahi

Mahtab Alam (Mushk)

Kuch Nahin Milta

Kissi Ki Ankh Se Sapnay Chura Ker Kuch Nahin Milta
Mandiron Se Charaghoon Ko Bujha Ker Kuch Nahin Milta

Koi Ik Adh Sapna Ho To Phir Acha Bi Lughta Hai
Hazaroon Khawab Ankhoon Main Saja Ker Kuch Nahin Milta

Bazahir Tum Se Hi Kerta Hun Main Saari Raz Ki Batain
Her Ik Ko Dastan E Dil Suna Ker Kuch Nahin Milta

Mujhay Akser Sitaroon Se Yahi Awaz Aati Hai
Kisi Ki Yaad Main Neendain Ghunwa Ker Kuch Nahin Milta

Jigher Ho Jayay Gha Chalni Yeh Ankhain Khoon Royain Ghi
Wafaa Befaiz Logoon Se Nibha Ker Kuch Nahin Milta

Mahtab Alam (Mushk)

Bahey Jaatey Hain

Dukh Apna Kisi Pay Hum Kholtey Nahin
Chup Hi Rehtey Hain Aksar Boltey Nahin
Mohabbat Khush Gumman Hi Sahi
Hum To Sarshaar Thay
Kisi Ki Mohabbat Ke Talabgaar Thay
Par Jaaney Kya Huwa
Iss Khush Gumani Ko Bhi Kisi Ki Nazar Lag Gayi
Hum Haar Gaye
Khud Pay Bharosa Kis Qadar Tha
Par Shayad
Naar-E-Ishq Mein Jalna Hi Muqadar Tha
Kon Humein Samjha Hai Kon Samjhey Ga
Hum Nahin Jaantey
Chup Hi Rehtey Hain Boltey Nahin
Dard Apna Kisi Pay Hum Kholtey Nahin
Par Jaaney Kyun
Zabt Ki Saari Hadein Torr Ke
Qatra Qatra Humarey Aansoo
Bahey Jaatey Hain
Bahey Jaatey Hain

Mahtab Alam (Mushk)

Nahin Karna

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir usey Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Ghari Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho uss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum Issey Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-Panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna

Mahtab Alam (Mushk)

Na Ki Jiye

Yun Dosti Ke Naam Ko Rusvaa Na Ki Jiye
Tark-E-Taalluqaat Ka Charcha Na Ki Jiye

Jurm-O-Sitam Ke Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Ki Jiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-E-Fardaa Na Ki Jiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Ki Jiye

Mahtab Alam (Mushk)

Kyun Hoti Hai

Zindagi aisi bewafaa kyun hoti hai,
wafa karne ki bhala sazaa kyun hoti hai.
Chhoti si baat pe bhi baha dete hain khoon,
kya pata logon me aisi anaa kyun hoti hai.
Karta hoon mai jis se baar baar tauba,
ya ilaahi mujhse wohi khata kyun hoti hai.
Banaate to hain hum apne haathon se masjid,
namaaz phir apni hi qazaa kyun hoti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Had Nahi

Meri gaflaton ki bhi had nahi,
teri rahmaton ki bhi had nahi.
Na meri khata ka shumaar hai,
na teri ataa ka shumaar hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, October 6, 2009

Dil ki Bisaat

Dil ki bisaat kya thi nigaahe jamaal me,
ek aaena tha toot gayaa dekh bhaal me.
Sabr aa hi jaayega basar ho ek haal me,
imkaan ek aur zulm hai qaide-muhaal me.
Aazurda hoon is qadar saraabe khyaal se,
ji chahta hai tum bhi na aao khyaal me.
Duniya hai khwab haasile duniya khyaal hai,
insaan khwaab dekh rahaa hai khyaal me .
Umr-e-do rozaa waaqaii khwab-o-khyaal thi,
kuchh khwaab me guzar gayi kuchh khyaal me.

Mahtab Alam (Mushk)

IshQ-e-Mushk

Tu is tarah se meri zindagi mei shaamil hai,
jahan bhi jaata hoon lagta hai teri mahfil hai.
Yeh kaisa ishq hai kaisi teri talab hai mujhe,
ke dil mera bhi ab apne khuda se gaafil hai.
Na koi raah na raah-e-nishaan dikhe hai mujhe,
tu thahar jaaye jahaan wohi meri manzil hai.
Bikhar to sakta tha main chhoti chhoti lahron mei,
mere hadon ko samete tu mera saahil hai.
Uski dilkash nazar pe na koi ilzaam rakho,
main qatl ho bhi gaya na koi mera qaatil hai.
Na husn-e-yaar ki mahtab ab badayi kar,
hairan to yun hun ke uska khuda bhi kaaeil hai.
Tere siwa na kisi aur ki talab mujhko,
tere wajood se mera jahan kaamil hai.
Woh ek dua hai tu jo har dilon me basti hai,
har ek shai me tere rahmat khuda ki naazil hai.
Jahaan ki naematen mujhko na ab lubhati hai,
ke teri wafa tera nazre karam to haasil hai.
Sabaq yeh deta hoon apne desh ke bimaaron ko,
main jubaan-e-hindi hoon, mahboob mera taamil hai.

Mahtab Alam (Mushk)