Wednesday, September 9, 2009

Wafa Ki Shart

Yeh wafa ki shart bhi kya khoob usne jaan li,
rooth jaane ke liye woh, hum manaane ke liye.
Zindagi lekar hamen kis mor par ab aa gayi,
jaagte hum raat bhar unko bhulaane ke liye.
Phir uthi kaali ghataayen phir woh chamki bijliyaan,
phir se humne khair maangi, aashiyaane ke liye.

Mahtab Alam (Mushk)

Anaa

Kabhi mausamon se dara nahi,
kabhi aadhiyon se bujha nahi.
Yeh chiraag anaa ka chiraag hai,
yeh teri wafa ka diya nahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Chhor Diya Hai

Khoon humne kiya apni tamannaon ka lekin,
haathon mei teri range heena chhor diya hai.
Ab jaaye kahan kaise ude dil ka parinda,
par kaat ke kahte hain, jaa chhor diya hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Bhool Jaa

Bhool jaane ki usko qasam khaale tu,
woh ek bewafa thi wahi rah gayi.
Jaate jaate magar usne kiya kar diya,
dil ke zakhmon mei phir taazgi rah gayi.
Meri qismat ka likha to dekho hasan,
qatl karke mujhe woh hasti rah gayi.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, September 4, 2009

Mere khuda

Mere khuda tu meri iltija to sun
dilse nikal rahi yeh meri dua to sun.
dena mujhe mohabbat apni aur mohammad ki
duniya ki chahaton me ab milta nahi sukun

Mahtab Alam (Mushk)

Cellworks

Aao doston is shama mei, sun len kuchh gaur se,
yeh hamari aur tumhari, apne Cellworks ki baat hai.
        Main ise ek company, hargiz tasauwar karta nahin,
        yaqeen maano isme chhupi, ek family ki jazbaat hai.
Sub'h ke shabnami bundon, ki tarah hum chand hain,
par kisi ko bhi bhigone, ki hamaari auqaat hai.
        Koi dilli koi kerela aur koi mumbai ki bolta hai,
        baithe ho agar saath hum to, ek jubaan eksi hi baat hai.
Kaun kehta hai hamaara mustaqbil achcha nahin,
is recession ke samay bhi, changi hamaari halaat hai.
        Preshaniyan hoti hain pal ki, aana jaana kaam iska,
        hum agar himmat rakhen to, Cellworks hamare saath hai.
Naam lekar apne khuda ka, mahtab hausle se kaam le,
waqt ke har imtihaan ko, phir hamaari maat hai.
        DRD, iCPHYS, aur Model development bhi kuchh aisa kiya,
        Science ki duniya ko yeh sab, cellworks ki saugaat hai.
MS/MTB ki to waqayi, har taraf hi dhoom hai,
must hai member sabhi, team lead ki anokhi baat hai.
        Computational ki utility, mehnat kam karwaati hai,
        model development mei bhai, inka bahut haath hai.
Neuro ki numerology bilkul nahi jach paa rahi,
badi mushkil se purushottam mila, woh bhi kahan ab saath hai.
        Inflammation ki taraqqi bari tezi mei dikhti hai,
        cellworks family ka yeh, akela aadha part hai.
Skin to hai chhota par gun badaa rakhta hai,
cellworks ke har function mei inki mushguliat hai.
        Oncology ka to loha sab ne hi maana hai,
        drug study, integration pe inki hi bisaat hai.
Biosignoff aur cardio ka bhi, yogdaan kuchh kam nahin,
har developer ki to inse, hoti baar baar mulaqaat hai.
        Timing ki wajah se, suraj hai hum se naraaz sa,
        aate jaate dono hi pal mei, milti to hamen raat hai.
Top lead aur management ka mai shukr adaa karta hoon,
40 hazaar crore tak yuhin badhte rahen, yeh to sirf shruaat hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, September 3, 2009

Apni Qismat

Baat dil ki jo thi, woh dabi rah gayi
Zindagi mei kisi ki  kami rah  gayi,
        mere aagan taraf, dhoop ki peeth thi
        mere ghar aate-aate chandni rah gayi,
raat ki oans mei, bheegi chhat ki tarah
meri palkon pe bhi kuch nami rah gayi.
        yun to bolne ki aadat bahut thi meri
        'woh' baat ankhon tak aakar wahin rah gayi,
qismaton ki likhawat main nahi padh saka
parat moti thi dhool ki jo jami rah gayi,
        maine galti se jo dekha aasmaan ki taraf
        mere pairon se khisakti phir zamin rah gayi
kar to sakta tha qurbaan sau tujh pe jaan
dil ke kone mei kuchh bebasi rah gayi
        pyar sharton pe mujhko gwara nahin
        mere daaman se lipti muflasi rah gayi,
Ishq karke jahaan mei mila hai koi
rasme qudrat ki thi jo sahi rah gayi
        ab to saanson ki "Mushk" ko zaroorat nahin
        Dharkano mei to teri kami rah rah gayi,
....Baat dil ki jo thi woh dabi rah gayi
....Zindagi mei kisi ki kami rah gayi.

Mahtab Alam (Mushk)

Wednesday, September 2, 2009

Apni Haalat

Aahen aise bharon ke hum pighal jaayen
pyar  aise  karo  ke  tum  ko  mil   jaayen,
          Aziz  aise  rakho  ke  dil  bahal   jaaye
          Is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaaye,
"Mahtab"  tune bahut  der  talak  raah dekhi
Dua yahi hai ke qismat 'ki' tujhko mil jaaye,
          Hans ke bahuton ko tune khushi baanti
          jaa  tera   gulshan bhi  abke  khil jaaye,
Na  koi  raah, na  mahfilen  mujhko  dikhti  hai
meri manzil hai wahi, humdum jidhar nikal jaaye.

Mahtab Alam (Mushk)

Girdhar

Mera ek bhi par gayaa to tu mar jayega,
naam Girdhar hai tera aur bhi gir jayega.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, September 1, 2009

Shaadi se Pahle (Ashish & Puru)

Jine ke din ab aap ke bache hain kul chaar,
khud ki kushiyan pare kam to lelen kisi se udhar.
na karen gum itna, yahi qiamat ka lekha hai,
kya apne bado ka aapne, yahi haal na dekha hai.
Aaj aap ki to phir kal hamaari baari hai,
par is waqt aapke saath, hamari hamdardi saari hai.
Yeh hai aisa dokha, har ki aazmane ki taiyari hai,
naye samaaj mei bhi chal rahi, yeh purani bimaari hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Shaadi ke Baad (Ashish & Puru)

Badle badle hain janaab, aakhir yeh maajra kya hai,
zara hum bhi to sune, kal shaam hua kya hai.
Chehre pe chamak ankhon mei bhari hai nazakat,
hai shuru shuru ka pyar yeh, khuda rakhe salaamat.
Magar afsos ke woh din bhi jald aayega,
chehra sujaa hua aur ankhen nam payega.

Mahtab Alam (Mushk)