Friday, August 28, 2009

Dharkan-e-Mahtab

Mere liye to tu hai, tere liye zamana,
teri kushi mei hasna, gum tere baant rona.
Deta hai dil duayen, yuhin nayaab rahe tu,
dil ki talab nahi sirf, dharkane mahtab rahe tu.

Mahtab Alam (Mushk)

Begaane

Aaj kal kuchh log begaane se nazar aane lage,
yun to milne ko mile par nazron se katraane lage.

Mahtab Alam (Mushk)

Ghar

Meri bheegi hui palkon ko koi manzar nahi milta,
Jabse chhor rakha hai ghar apnaa koi ghar nahi milta.

Mahtab Alam (Mushk)

Ghar

Meri bheegi hui palkon ko koi manzar nahi mila,
Ghar chhor diya jabse apnaa koi ghar nahi mila.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, August 27, 2009

Ramzaan

Bezubano ko jab woh jubaan deta hai,
padhne waalon ko phir woh quran deta hai.
Bakshne pe aaye jab woh gunah bandon ke,
tohfe mei phir woh maah-e-ramzaan deta hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Wajah

Qudrat ke karishmon mei agar raat na hoti,
to khwabon mei bhi shayad mulaqaat na hoti
yeh dil hi zamane mei har gam ki wajah hai,
jo dil hi agar na hota to koi baat na hoti.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, August 25, 2009

Yaad Aaya

Aaj ek khota hua dost bahut yaad aaya
achha guzra hua kuchh waqt bahut yaad aaya.
Meri aankhon ke har ek ashk par rone waala
aaj phir bheegi jo palken to bahut yaad aaya.
Jo mere dard ko baaton me chhupa leta tha
aaj phir jo dard hua to bahut yaad aaya.
Woh mere dil ke qareeb tha barson se
dil ko tanha jo paaya to bahut yaad aaya.

Mahtab Alam (Mushk)

Tu saath chal

Banke mera hum qadam tu saath chal
kuchh to ho tanhaayi kum tu saath chal
yun to hain kitne hi humraahi magar
hai safar me dost kum tu saath chal.
Hai qadam me faasle parwaah nahi
dil se dil ka raabta hai tu saath chal
gar hai hatheli mehroom tere naam se
kheench doonga inpe lakiren tu saath chal.

Mahtab Alam (Mushk)

Fareb-e-dosti

Zamaane bhar ne loota hai fareb-e-dosti dekar,
agar tum saath do mera to sabse dushmani karlun.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, August 21, 2009

Pyari Maa

Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
Tere aanchal ki thandhi hawa chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Lori ga ga ke hamesha sulaati thi tu
Sir sahla kar phir sawere uthhaati thi tu
Mujhko teri yeh aadat bakhuda chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Teri khidmat se duniya me azmat meri
Tere paaon ke neeche hai Jannat meri
Tujhe khush karke mujhe do jahan chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Teri mamta ke saaye me phoolun phalun
Thaam kar ungli teri main badhta Chalun
Thak main jaoon to tera hi aasra chahiye
Pyari Maa Muj Ko Teri Dua Chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

De to sakta nahi main badla tere pyar ka
Jo tera tha mera, ab sab mera hai tera
Kar bhi sakta hoon Qurbaan sau tujhpe jaan
Par bata tujhko duniya me aur kya chahiye
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
"Mushk" ko is ke sewa aur kya chahiye

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, August 17, 2009

iraada

Marne ka tere gham mein koi iraada to nahi hai,
Mana ke pyaar hai, par itna bhi zyada to nahi hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Bandagi

Bandagi aisi ho ki khuda hashr me keh uthey,
ye banda do alam se khafa tha sirf mere liye.

Mahtab Alam (Mushk)

Mohabbat Bandagi Hai

Mohabbat bandagi hai is me tan ka qurb mat chaho,
Ke jis ko chhu liya jaye usey pooja nahi kartey.

Mahtab Alam (Mushk)

Paimaana

Usne ulfat ke bhi paimaane bana rakhe the
Par mene chaha tha use had se guzar jaane tak.

Mahtab Alam (Mushk)

Saadgi

Tum do fareb aur main samjhoo hunar use
Itni bhi saadgi ka ab zamana nahi raha.

Mahtab Alam (Mushk)

Shirkat

Apni chahat me koi shirkat mujhe manzoor nahi
Ab tujhe bhi teri khwahish nahi karne dunga.

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, August 14, 2009

Mehdood

Main apni khwahishein mehdood kar ke ji lunga,
Tu apne aap ko mera khuda na samjha kar.

Mahtab Alam (Mushk)

Teri Mehfil mein

Main yahi soch ke baitha hoon teri mehfil mein,
Shama jo bujh jaye to phir kaun hai jalne ke liye.

Mahtab Alam (Mushk)

Qismat

Haath na aayi duniya bhi , ishq mein bhi gumnaam rahein
Soch ke ab sharminda hain, kyun dono mein nakaam rahein.

Mahtab Alam (Mushk)

Mohabbat ki zaban

Aankhen Bayan kar deti hai dil ke har raaz aksar
Bahut khamoosh ye mohabbat ki zaban hoti hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, August 11, 2009

Bedard zamana

Bedard zamana hai ummeed-e-karam kaisa,
apne hain beganon se gairon se sitam kaisa.

Mahtab Alam (Mushk)

Saadgi ka daaman

Yun Saadgi ka daaman kabhi chhorte nahin hum,
ke bad-tameez logon se phir bolte nahin hum.
Badsuluki ab to mere tasawwar ki ek ada hai
par dil se mila jo koi to munh morte nahin hum.

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, August 10, 2009

khatam

Gar-chah nayi subah aati hai her ek shaam ke baad
Phir kyun khatam hai meri duniya tere naam ke baad

Mahtab Alam (Mushk)

Raasta

Hiza- re-zaat koi raasta to de mujh ko
Bare dino se tamanna he khud ko paane ki

Mahtab Alam (Mushk)

Dekhne walon

Ai dekhne walon yun mujhe hans hans ka na dekho
Tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de

Mahtab Alam (Mushk)

Friday, August 7, 2009

Rafta-Rafta

Usko mehsoos bhi na ho , yun kahani ko humne mod diya
Milne julne me ki kami pehle, phir rafta rafta use bhi chhod diya.

Mahtab Alam (Mushk)

Main Gareeb

Main thoda gareeb hoon, per wo mere qareeb hai
Ya to main khush naseeb hun, ya wo kuch ajeeb hai

Mahtab Alam (Mushk)

khwab chhupana

Palkein chamak uthi hai sote me hamari
Aankho ko bhi khwab chhupane nahi aatey.

Mahtab Alam (Mushk)

Ahl-e-zarf

Hazar gham sahe lekin na aaya aankh me aansoo
Hum Ahl-e-zarf hai peete hai chalkaaya nahi karte.

Mahtab Alam (Mushk)

Meri baat

Tu mujhe bhool bhi jaye to ye haq hai tujh ko
Meri baat aur hai ke maine to mohabbat ki hai

Mahtab Alam (Mushk)

Ajeeb saza

Hans hans ke zindagi ki dua de gaya mujhe
Wo shaks bhi ajeeb saza de gaya mujhe.

Mahtab Alam (Mushk)

ILzaam

Tum mere liye ab koi ilzaam na dhoondho
Chaha tha tumhe itna hi ilzaam bahut hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Tuesday, August 4, 2009

Todna tootey dilon ka

Todna tootey dilon ka achcha nahi hota hai
Toot-ta hai mehfil me par tanhai me hi rota hai,

Khushi maang kar lena hargiz mujhe manzoor nahi
Maangi hui daulat se kahan kiska bhala hota hai

Mahtab Alam (Mushk)

Takalluf aur ekhlaq

Tum takalluf ko bhi ekhlaq smajh lete ho mahtab
Dost hota nahi har koi haath milaane wala,

Mahtab Alam (Mushk)

Parakhna

Parakhna mat ,parakhne se koi apna nahi rehta
Or kisi bhi aieney me der tak koi chehra nahi rehta,

Badey logo se milne se hamesha faasle rakhna
Ke darya jab mile sagar se,fir darya nahi rehta.

Mahtab Alam (Mushk)

Sawaal

Log raah me ruk-2 ke sambahlte kyu hai…
Itna darte hain to fir ghar se nikalte kyu hai…..

Na mai jugnu hu, diya hu, naa koi taara hu
Rashni wale fir mere naam se jalte kyu hain…….

Neend se mera talluk kaha hai barso se…
Khwaab aa-2 ke fir mere chhat pe tahalte kyu hain

Mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye…
Log sab fir isi mod pe aake fisalte kyu hain.

Mahtab Alam (Mushk)

Khyaal

Rah chalte mujhe ye khayaal aa gaya
Apni kaarwaiyon pe malaal aa gaya,

Gunah mere tufl se kuch zyaada hi the
Maaf kar kar ke khuda ko jalal aa gaya,

Zindagi apni sharton pe ji li bahoot
lautna hai khuda ko phir sawal aa gaya,

jahaan ki har shai mei haq dhoonda magar
isme apni bhi mashguliat ka misaal aa gaya.

Mahtab Alam (Mushk)

Masroof - Cellworks (Neuro)

Bahut masroof rehte hain, subah se sham hone tak
Bahut sa kaam karte hain, zara sa kaam hone tak,

Uthein zehmat karein ab aap bhi, gaye sab aashiyaane ko
Ya khayal rukne ka hai or bhi, Reddy ka elaan hone tak,

Hazaron khwahishein hongi, arey sabki hoti hai
Unhe kya taalte rahoge aap, zindagi tamaam hone tak,

Lagan hai aap ki achchi, dua kyunkar na de koi
Khuda kamyaab rakhey har kadam, jahan me naam hone tak.

Mahtab Alam (Mushk)

Monday, August 3, 2009

Twaareef

Is anjuman me mehakta guliste to hain bahut
Wo taazgi kaha jo aapki berukhi me hai

Karne pe bhi ab aapki badayi mai kya karoon
Ki achchaiyon ki parakh mujhe to aapki roshni me hai.

Aapke roshan muqaddar se jahan me roshni howe
Kamyabi ki har kiran to aapki shaeestagi me hai

Dua manzoor us khuda ko hogi na kyun bhala
Ki ek alag si aazazi aapki bandage me hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Bewafayi

Raah-e-guzar mein teri adawat bhi na rahi
Jo tumne mujhse ki thi wo mohabbat bhi na rahi

Ruswaiyon ke dar se chhupna pada tumhe
Ek nazar-e-karam ki ab to inaayat na rahi.

Mahtab Alam (Mushk)

Dil ki Dua

Zameen badle zamaa badle ,zamane ki hawa badle
Jo main badlu agar tujhse ,to phir mera khuda badle.

Meri saanso me tu hai, tu meri hare k nafso me
Tere bin mai adhura tujhse hi mere sabhi masle

Mera har ek lamha teri khushi batorne me hai
Fana kar doon mai khud ko bhi taaki tu zara hans le

Tamanna hai ki roshan ho teri duniya teri mehfil
Ujaala dene ko tujhko jala doon ghar sabhi apne

Jahan mein thokren kitni ,hazaron qism musibat hai
Yahi rab se dua meri ke tu har mod pe sambhle

Mere jivan ki har khwahish bas tujhse musarrat hai
Prashtish hai meri aakhir tere koonche me dum nikle.

Har ek pal tu mere sang hai ,ya to hai tasauur mein
Palon ke darmiyane pal bhi tujhe milne ko dil machle

Haan mere “mushk”-e-bahara se khiza teri sawarunga
Khile tera gulistan aur daman bhi tera sajle…………

Mahtab Alam (Mushk)

Talaash

Ye zara zara si baat pe, wo tarah tarah ka aazaab hai

Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe us khuda ki talaash hai.


Kar ke khoon mai farq ka guman hum raishte naaton me hain jujhte

Jo kisi se bhi juda na ho mujhe us dua ki talaash hai.


Yu to zinda hai gar koi , to hai saans lena hai laazmi

Jo khiza me bhi ehsaase bahr de, mujhe us hawa ki talaash hai,


Wo yahan bhi hai, wo wahan bhi hai, jahan nahi koi wo waha bhi hai,

Jahan uski maujudgi ka asar na ho, mujhe us jaagah ki talaash hai.


Mera khud me ab bacha hai kya, mujhme haq nikalta bahuton ka,

Jo ho mera or suno mai hi khud, mujhe us sada ki talaash hai.



Mahtab Alam (Mushk)

Talaash

Ye zara zara si baat pe, wo tarah tarah ka aazaab hai

Jo kisi se bhi khafa na ho, mujhe us khuda ki talaash hai.


Kar ke khoon mai farq ka guman hum raishte naaton me hain jujhte

Jo kisi se bhi juda na ho mujhe us dua ki talaash hai.


Yu to zinda hai gar koi , to hai saans lena hai laazmi

Jo khiza me bhi ehsaase bahr de, mujhe us hawa ki talaash hai,


Wo yahan bhi hai, wo wahan bhi hai, jahan nahi koi wo waha bhi hai,

Jahan uski maujudgi ka asar na ho, mujhe us jaagah ki talaash hai.


Mera khud me ab bacha hai kya, mujhme haq nikalta bahuton ka,

Jo ho mera or suno mai hi khud, mujhe us sada ki talaash hai.



Mahtab Alam (Mushk)

Saturday, August 1, 2009

Talaash-e-Andaaz

Bahut aib hai mujhme, magar aaj bhi mujhko

Apno se khafa hone ka andaaz na aaya……....


Mahtab Alam (Mushk)