Thursday, May 27, 2010

Khaak Ho Jayenge

Aap Ko Chahiye Ek Umar, Asar Hone Tak
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak.
Hum Ne Maana Ke Tum Tagaafil Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak.

Mahtab Alam (Mushk)

Baat Nahi Karte

Ye Na Sochna Ghaafil Ho Gaya Teri Yaad Se Mahtab
Tumhari Khushi Samaj Kar Tum Se Baat Nahi Karte.

Mahtab Alam (Mushk)

Dua Maangi Hai

Tu hi mil jaaye mujhe ye hi kaafi hai
Meri har saans ne ye hi dua maangi hai
Jaane kyun dil khincha jata hai teri taraf
Kya tune bhi mujhe pane ki dua maangi hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Gum Na Ho

Tumhari zindagi me koi gum na ho,
Tumhari aankhen kabhi num na ho.
Tumhe mile zindagi ki har khushi,
Bhale chaahe usme hum na ho.

Mahtab Alam (Mushk)

Mera Muqaddar Hota

Woh mera sab kuch hai lekin mera muqaddar nahi hai
Kash wo mera kuch bhi na hota bas mera muqaddar hota.

Mahtab Alam (Mushk)

Nahi jaati

kuch sitaron ki chamak nahi jaati
kuch yaadon ki khanak nahi jaati
kuch logon se hota hai aisa rishta
ke door reh kar bhi unki mehak nahi jaati.

Mahtab Alam (Mushk)

Taqdeer Se Chup Kar

Mujhe Maloom Hai Mera Mukaddar tum Nahi Lekin
Meri Taqdeer Se Chhup Kar Meri Ek Baar Ho Jao.

Mahtab Alam (Mushk)

Kitne Majboor Ho

Kitne majboor ho taqdeer ke haathon Mushk
Na use pane ka zarf hai na use khone ka Hosla.

Mahtab Alam (Mushk)

Bewafa nahi lagte

Na janay kiya hai us ki udaas ankhon mei Mahtab
Woh nazar chura ke bhi guzre to bewafa nahi lagte.

Mahtab Alam (Mushk)

Talash Kar

Rehne De Aasman..
Zamin Ki Talash Kar,
Sab Kuch Yahin Milega..
Na Kahin Aur Talash kar,
Har Arzoo Agar Ho Puri..
To Phir Jine Ka Kya Maza,
Jine Ke liye To bas Tu Ek
Kisi Wajah Ki Talash Kar..

Mahtab Alam (Mushk)

Sunday, May 9, 2010

Kya Hai Maa

Jab Kabhi Zindagi Udaas Lage
Jab Kahin Bhi Sukoon Na Pao Tum

Koi Pursan-E-Haal Na Poochhe
Sari Duniya Se Haar Jao Tum

Tab Mere Dost Sirf ek Hasti
Tum Pe Nazren Karam Ki Dale Gi

Tum Se Saari Udasiyan Le Kar
Rahat-E-Qalb Tum Ko Bakhshe Gi

Jo Kahin Se Bhi Na Muyassar Ho
Woh Sukoon Maa Ke Paas Hai Humdum

Dekh Kar Dard Apne Bacchon Ka
Aankh Ho jati Hai Jis Ki Purnam

Dost Tujh Se Kahun Main, Kya Hai Maa
Muhabbaton Ka ek Jahan Hai Maa

Teri Duniya Main Gar Andhera Ho
Roshni Dene Ko phir Shama Hai Maa

Qadam Ke Neeche Hai Jannat Us Ke
Yaani Jannat Ka Aasman Hai Maa

Mashwara Mera Hai Tujhe Humdum
Todna Tu Na Kabhi, Maa Ka Bharam

Bande Woh Hi Kamal Rakhte Hain
Jo Apni Maa Ka Khayal Rakhte Hain

Ke Hadis Main Yeh Qalaam Hota Hai
Beta Maa Ka Ghulaam Hota Hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Tum Se Hai

Ye Kamiyabian Izzat Ye Naam Tum Se Hai
Khuda Ne Jo Bhi Dia Hai Maqaam Tum Se Hai.

Tumhare Dam Se Hain Mere Lahoo Mei Khilte Gulab
Mere Wajood Ka Saara Nizaam Tum Se Hai.

Kahan Bisat-E-Jahan Aur Main Kam Sin-O- Nadan
Ye Meri Jeet Ka Sab Ehtemaam Tum Se Hai.

Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Main Hoon
Jahan Jahan Hai Mera Ehteraam Tum Se Hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Thursday, May 6, 2010

EK KHUWAAB

Raat phir khuwaab main aa kar mujhse
Meri ammi ne kuch sawaal kiye
Usse pahley mujhey duaa yeh di
Khuda karey ke tu sau saal jiye
Unki aankhon mein mohobbat bhi thi
Aur chhupa afsos bhi tha
 
Ek aanso bhi tha un aankhon main
Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha
Mujhse poochcha ke bete kaisey ho
Koi diqqat to nahin hai tumko
 
Phir kaha!!!!
Tumko maloom hai kya
Main bari takleef main hoon
Jab se laiti hoon so nahin payee
Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee
Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain
Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain
 
Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
Merey samjhaney main kami thi kya
Ya meri tarbiyat adhoori thi
Kyon burey kaam roz kartey ho
Kyon nahin us khuda se dartey ho
Jisney tumko ye jaan bakshi hai
Jisney tumko amaan bakshi hai
Laut kar jiske paas jaana hai
 
Kya usey munh nahin dikhana hai
Kya tumhein is liye padaya tha
Kya tumhein yehi sab sikhaya tha
Ki apney ilm par Guroor karo
 
Apney nafs ko masroor karo
Jab bhi bolo to bas galat bolo
Zulm dekho to lab nahi kholo
Chorkar deen bhool kar mazhab
Apni auqaat note main taulo
Sach batao ki kya ye qissa hai
Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
Mujhko afsos nahin ke tu mujhey bhool gaya
Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya
Main to Jee key bhi roz marti hoon
Main tujhey roz yaad karti hoon
Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney
Uskey anjaam se main darti hoon
 
Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye
Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka


Mahtab Alam (Mushk)