Sunday, June 20, 2010

Tujh se kahein

dukh fasaana nahi ke tujh se kahein
dil bhi maana nahi ke tujh se kahein ,
aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jana nahi ke tujh se kahein,
ek tu harf_aashna tha magar
ab zamana nahi ke tujh se kahein ,
be-tarah dil hai aur tujh se
dostana nahi ke tujh se kahein ,
ai Khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
aab-o-dana nahi ke tujh se kahein

Akhtar...

Thursday, June 3, 2010

Na Kar Saka

Ankhon Se Log Pi Gaye Mere Dil Ka Raaz
Afsos Tere Gam Ki Hifaazat Na Kar Saka

Ik Khowab Us Ke Samne Dum Tor Ta Raha
Afsos Mera Maseha Koi Karamat Na Kar Saka

Us Ne Na Mujh Ko Visaal Ki Naemat Adaa Ki
Be Sood Main Bhi Us Ki Ibadat Na Kar Saka

Pakka Ghara Tha Pass Magar Phir Bhi Woh Udaas
Na Jane Kyun Darya Ko Par Karne Ki Himmat Na Kar Saka.

Mahtab Alam (Mushk)

Raam Kahani

Izhar-e-Mohabbat Mei Ek Umar Lagata Hai
Jo Shaksh In Aankho Se Kuch Lutf Uthata Hai

Kal Chand Ko Dekha Jab To Yeh Jan Liya Hum Ne
Yeh Husn Bhi Tere Hi Chehre Se Churata Hai

Dil Khol Kar Dekho To Yeh Husn Ki Zanjere
Jin Se Tu Mujhe Qaidi Umron Ka Banata Hai

Main Bhool To Jayon Par Ai Jaan Tujhe Kaise
Hai Koi Jo Khudh Apni Hasti Ko Mitata Hai

Dedar Ki Khatir Kyun Tu Kohe Tur Par Jata Hai
Woh Pyar Pe Aaye To Khudh hi Paas Bulata Hai

Zamana Hai ab Sirf mahtab Computer Ka
Yeh Raam Kahani To Kis Dil Ko Sunata Hai.

Mahtab Alam (Mushk)

Na The Aise

Hum Log Na The Aise
Hein Jaise Nazar Aate
Ai Waqt Gawaahi De
Hum Log Na The Aise

Yeh Sheher Na Tha Aisa
Yeh Rog Na The Aise
Deewar Na The Rishte
Ai Waqt Gawaahi De
Hum Log Na The Aise

Zandaan Na Thi Basti
Khaljaan Na Thi Hasti
Yoon Mout Na Thi Sasti
Ai Waqt Gawaahi De
Hum Log Na The Aise

Yeh Aaj Jo Soorat He
Halaat Na The Aise
Tafreeq Na Thi Aisi
Sanjog Na The Aise
Ai Waqt Gawaahi De
Hum Log Na The Aise

Mahtab Alam (Mushk)

Bachpan Ka Zamana

Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Khushiyon Ka Khazana Hota Tha

Chahat Chaand Ko Paane Ki
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha

Rone Ki Wajah Na Hoti Thi
Hasne Ka Bahana Hota Tha

Khabar Na Thi Kuch Subohon Ki
Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha

Daadi Ki Kahani Hoti Thi
Pariyon Ka Fasana Hota Tha

Ghum Ki Zubaan Na Hoti Thi
Na Zakhmon Ka Paimana Hota Tha

Baarish Mei Kagaz Ki Kashti
Har Mausam Suhana Hota Tha

Woh Khel Woh Saathi Hote The
Har Rishta Nibhaana Hota Tha

Bachpan Ka Zamana Hota tha
Kiya Khoob Zamana Hota Tha.

Mahtab Alam (Mushk)

Shayari

Shayari har shayar ke dil ki zuban hoti hai
Izhar nahi par izhar ki ek adaa hoti hai.

Chhoo lete hain dil ke taron ko chupke se
Phir se zindagi ki koi nayi ebtaida hoti hai.

Kah dete hain har baat apne shair ke misre se
Raaze dil janne ki bhi raazdaan hoti hai.

Chhupi hai har lafz mei is ki ek nayi kahani
Pyar karne walon ki bhi dastaan hoti hai.

Kar deti hai ek madhur kaifiyat taari sab par
Hosh gawaane ki gumnaam dawaa hoti hai.

Dhoondh leti hai har woh raah jis par use chalna hai
Dil ki manzil tak pahoonchane ki paiyedaan hoti hai.

Mahtab Alam (Mushk)